SALMAN KHAN

Monday, May 9, 2011

~~~(( IQBAL ))~~~

ATA HAI YAD MUJHKO....


ata hai yad mujhko guzara hua zamana
wo bag ki baharen wo sab ka chah-chahana

azadiyan kahan wo ab apne ghonsale ki
apni khushi se ana apni khushi se jana

lagti ho chot dil par, ata hai yad jis dam
shabnam k anson par kaliyon ka muskurana

wo pyari pyari surat, wo kamini si murat
abad jis k dam se tha mera ashiyana


Posted by Salman Khan



AJAB WAIZ KE DIN-DARI....


ajab waiz ki din-dari hai ya rab
adawat hai ise sare jahan se

koi ab tak na ye samjha k insan
kahan jata hai ata hai kahan se

wahin se rat ko zulmat mili hai
chamak taron ne pai hai jahan se

ham apni dard-mandi ka fasana
suna karte hain apne razdan se

bari barik hain waiz ki chalen
laraz jata hai awaz-e-azan se


Posted by Salman Khan



JINHEN MAIN DHUNDHTA THA......


jinhen main dhundhta tha asmanon mein zaminon mein
wo nikle mere zulmat-e-khana-e-dil k makinon mein

mahine wasl k ghariyon ki surat urte jate hain
magar ghariyan judai ki guzarti hai mahinon mein

mujhe rokega tu ai nakhuda kya garq hone se
k jin ko dubna hai dub jate hain safinon mein

jala sakti hai sham-e-kushta ko mauj-e-nafas un ki
ilahi kya chupa hota hai ahal-e-dil k sinon mein

tamanna dard-e-dil ki ho to kar khidmat faqiron ki
nahin milta ye gauhar badshahon k khazinon mein

muhabbat k liye dil dhundh koi tutnewala
ye wo mai hai jise rakhte hain nazuk abginon mein

bura samajhun unhen mujh se to aisa ho nahin sakta
k main khud bhi to hun "Iqbal" apne nuktachinon mein


Posted by Salman Khan


TERE ISHQ KE INTAHA CHAHTA HUN.


tere ishq ki intaha chahta hun
meri sadgi dekh kya chahta hun

sitam ho k ho wada-e-behijabi
koi bat sabr-azma chahta hun

ye jannat mubarak rahe zahidon ko
k main ap ka samna chahta hun

koi dam ka mehman hun ai ahl-e-mahfil
chirag-e-sahar hun, bujha chahta hun

bhari bazm mein raz ki bat kah di
bara be-adab hun, saza chahta hun


Posted by Salman Khan

No comments:

Post a Comment