SALMAN KHAN

Monday, May 9, 2011

~~~(( AZAD ))~~~


UFAQ PAR DHUNDLAKE

Ufaq par dhundlake
Shafaq main alao
Ghataoon main shole
Chaman main babool
Baharoon pe ser ser k ghambeer saye
Nazaroon k daman main nakbat basaye
Diloon par udasi
Demagoon main uljhan
Khayaloon main talkhe
Nigaheen malool
Har ek semat veraniyoon ka nazool
Jalata raha main andhroon main shameen
Kehlata raha khaarzaroon main phool
Shoaoon se tarekhiyon ko ujale
Kharabon pe tahmeer ka aks dale
Bare zakhm kha kar
Magar muskara kar
Kiye zindagi ne hawadas qabool
Urati phiri dasht wa sehra ki dhool
Wohi waqt ki sust raftaar
Gardash wohi
Mout ki rahguzaroon ka towl
Wohi chaar so dhake dhake alao
Wohi gulestaan main
Khezaoon ka rachao
Wohi chand taroon pe khn dhundlake
Wohi zulmatoon ka porana asool
Magar koun samje yeh kis ki thi bhul ?

Posted by Salman Khan





ANKH MAIN JAB AANSU HO

Ankh main jab aansu ho
Dil bhi jab bhar aaye
Un udaas lamhon main
Ghum ko bhulaane ko
Tum yaad mujhko ker lena

Tassavaron ki wadi main,
Khusnuma se rangon main,
Ek phool ki kami jab ho,
Aah jab nikal jaaye,
Tum yaad mujhko karlena

Tanhai ke gheron mein,
Berang si nigahon mein,
Rang khushi ke bharne ko,
Tum yaad mujhko karlena

Agar tum aisa na chaho toh,
Aah nikal jaane ko,
Berang si nigahon ko,
Ek fareb jaan kar,
Bas yun hi jhatak dena,
Aur yeh bhi na kar sako tum,
Toh is be-yaqeeni ko,
Yaqeen mein badalne ko,
Raaz-e-dil paane ko,
Tum yaad mujhko kar lena

Posted by Salman Khan





SUNA HAY CHAND PAR INSAAN RAHAINGAY


Suna hay chand par insaan raheen ge
Waheen ham tum aye jane jaan raheen ge
Zameen ab pyaar k kabil naheen hay

Yeh apne pyaar ki manzel naheen hay
Falak k kuch dinon mahmaan raheen ge

Nai duniya naye hoon ge nazare
Naye tufaan naye hoon ge kanare

Nai duniya k ham mahmaan raheen ge
Yahan par noor ki barsaat ho gi

Din hoon ge apne, apni raat ho gi
Wafa k marhale aasan raheen ge

Posted by Salman Khan





AB MAIN NAHEEN TUMARA

Ab main naheen tumara
Muj ko na yaad aooo
Main tum ko bhul jaoun
Tum muj ko bhul jao
Murjha gaeen woh shakheen
Khiltey the phool jin par
Suhni pari hain raheen
Ujrey huwa hain manzar
Zinda muj ko samjheen
Chairo na aye hawaoo
Baad_e_saba se kah do
Guzre na ab idhar se
Nakam aarzu ko
Kiya kaam naam ber se
Aey badloo ab un ka
Pahgam mat sunao

Posted by Salman Khan




AJAB PAGAL SI LARKI HAI


Ajab Pagal Si Larki Hai
Mujhe har khat main likhti hai
“Mujhe tum yaad karte ho?
Tumhein main yaad aati hun?”

Meri baatein satati hain
Meri neendein jagati hain
Meri aankhein rulaati hain
December ki sunehri dhoop main
ab bhi tahelte ho?

Kisi khamosh rastay se
koi awaaz aati hai?
Thithurti sard raaton mein
tum abb bhi chhatt pe jate ho?

Falak ke sab sitaron ko
meri baatein sunate ho?
Kitabon se tumhare
ishq mein koi kami aai?

Ya meri yaad ke shiddat se
aankhon mein nami aai?
Ajab pagal Si larki hai
mujhe har khat main likhti hai..
Jawaban us ko likhta hoon..
Meri masroofiyat dekho
subah se shaam office mein
Charagh-e-umr jalta hai
Phir us ke baad duniya ki
Kaee majbooriyan pao`n mein

baedi daal rakhti hain
Mujhe be-fikr, chahat se
bhare sapne nahin dikhte
Tahelnay, jagne, ronay ki
mohlat hi nahin milti
Sitaroon se mile arsa hua…
naraz hon shayad
Kitaboon se shaghaf mera
abhi waise hi qayam hai

Farq itna para hai ab
unhein arsay mein padhta hoon
Tumhein kis ne kaha pagli
tumhein main yaad karta hoon
Ke main khud ko bhulane ki
musalsal justju mein hoon
Tumhein na yaad aane ki

musalsal justju mein hoon
Mager yeh justju meri
bohat nakaam rahti hai
Mere din raat mein ab bhi
tumhari shaam rahti hai
Mere lafzon ki her maala
tumhare naam rahti hai

Tumhein kis ne kaha pagli
tumhein main yaad karta hoon
Purani baat hai jo log
aksar gungunatay hain
Unhain ham yaad karte hain
jinhein ham bhool jate hain

Ajab pagal si larki ho
Meri masroofiyat dekho
Tumhein dil se bhulaun to
tumhari yaad aaye na…
Tumhein dil se bulane ki
mujhe fursat nahin milti
Aur is masroof jeewan mein
Tumahre khat ka ik jumla
“Tumhein main yaad aati hoon?”

Meri chahat ki shiddat mein
kami hone nahin deta
Bahot raatein jagata hai
mujhe sone nahin deta
So agli baar apne khat mein
yeh jumla nahin likhna…
Ajab pagal si larki hai
mujhe phir bhi ye likhti hai
“Mujhe tum yaad karte ho,
tumhein main yaad aati hoon???


Posted by Salman Khan




SHAMOON KE BHARTI TAERGI MAIN


Shamoon ki bharti taergi main
Barkha k sune jungal main

Kabhi chand ki mit ti roshni main
Rangoon ki bahti nahiroon main

In unchi unchi khrkiyon wale
Ujre ujre shehiroon main

Kin jane wale logoon ki
Yadoon k deye jalate ho ?

Kin bhuli bisri shakloon ko
Galiyoon main dhundhne jate ho ?


Posted by Salman Khan




LO TUM JEETAY,,,,,


Lo tum Jeetay , Haaray ham…
Laikin AB iTraao Kam…

Khair Tumharay Dewanay ki…
‘Aik’ Mohabbat, ‘Lakhon’ gham…

Seedhi Sachi Batain hain,..
Ziada hon, ya hon kam…

Ab ye Bojh nahe uthTa..
Wapis Lay lo apnay Gham..

Ham bhi Majnu Jayssay hain..
‘Shouk’ Ziaada, ‘Himmat’ kam..

Barsay to do AnSou thay..
Tarsay to Sehra they ham..

kosor tha Mairay dil ka bhi…
Ab koye to ho ga na Marham….


Posted by Salman Khan



KAB TAK CHALTA RAHAY GA RAHI


Kab tak chalta rahe ga rahi
In anjani rahoon main

Kab tak shama jale gi gham ki
In bechain nigahoon main

Woh bhi bhul gaya ho ga tujhe
Duniya k janjaloon main

Kitna badal gaya hay tue bhi
Ate jate saloon main

Gaa koi geet khushi ka paghal
Kiya rakha hay aahoon main

Mil bhi gaya woh,phir kiya ho ga ?
Lakhoon milte dekhe hain

Yeh gulzaar to raat ki chup main
Sab ne khilte dekhe hain

Raat kati to khaak urti hay
Piyaar ki jalwa gahoon main,

Posted by Salman Khan



KISI KA SAATH MIL JAEE

Kisi ka sath mil jaee
Meri taqdeer ban jaee
Main ban jaoon musawer
Woh meri tasveer ban jaee

Nazaroon ki jawani yeh
Umangoon ka jawaan mousam
Yeh kaliyoon k haseen chaire
Yeh lahron ki haseen sargam

Kisi k dil main mere naam ki
Tahreer ban jaee
Koi damsaaz ban jaee
Koi apna mujhye jane
Kisi k dil ki dharkan
Mere dil ka dard pahchane

Kisi ki zulf mere piyar ki
Zanjeer ban jaee
Jala kar khaak kar de gi
Mere dil ko yeh tanhai
Machal uthe to phir qabo main
Kab ata hai sodaai

Main ranjha ban gaya houn
Woh meri heer ban jaee


Posted by Salman Khan




KON HAY SORAJ KON HAY SAAYA


Kon hay Soraj kon hay Saaya,
main bhe Sochon,To bhe Soch..

kissnay Pehhlay Hath Churaya.....
Main Bhe sochon,To bhe Sooch..

jissky Khatir Sahil Sahil,
Seepiyan Chuntay Beet Gayee..

Kewn woh mooti haath na Aaya ,
Main Bhe Sochon To bhe Sooch..

Kissko kitna Naam Mila,
or Kiss ko kia Elzaam Mila..

KissNay Kisska Waqt Ganwaya,
main Bhe SochoN,,Too Bhe soch.....

Kissnay kittni Aas Bundhayee,
Kissnay kittni jaan Churayee....

Kissnay Kittna sath Nibhaaya,
Main bhe SochoN to Bhe sooch..

Ham Akhir jiss Ulfat par ,
sochnay par mujbor hoayee..

Jeewan main yeh din Kaysay Aya,
Main bhe sochon to bhe Sooch..


Posted by Salman Khan




JO NA MIL SAKA WO BAYWAFA

Jo Na Mil Saka Wo Baywafa

Yeh Bare Ajeeb Si Baat Hai
Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai...
Mera Nam Tak Jo Na Lay Saka
Jo Mujhay Qarar Na Day Saka

Jissay Ikhtiyaar Tau Tha Magar
Mujhay Apna Pyar Na Day Saka
Wohi Shakhs Mere Talassh Hai
Wohi Dard Mere Hayaat Hai
Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar

Wohi Aaj Tak Meray Saath Hai


Posted by Salman Khan




 

No comments:

Post a Comment