SALMAN KHAN

Saturday, May 7, 2011

~~~(** 4 **)~~~


++++++++++^^^^^^^^^^++++++++++

Kabhi Kabhi mere dil mein Khayaal aataa hai
kabhi kabhi mere dil mein Khayaal aataa hai..
.
ke zindagi teri zulfoon kii narm chaaoon mein
guzarane paati to shaadaab ho bhi sakati thi

ye teergi jo meri zeest kaa muqaddar hai
teri nazar ki shuaaoon mein kho bhi sakati thi

ajab na thaa ke main begaanaa-e-alam ho kar
tere jamaal ki raanaaiiyoon mein khoya rehtaa

teraa gudaaz badan teri neem-baar aaNkhain
inhain haseen fasaanoon meon maaho rehtaa

pukaarateen mujhe jab talKhiyaaN zamaane ki
tere laboon se halaawat ke ghuuNT pee letaa

hayaat cheekhati phirti barahanaa-sar,
aur main ghaneri zulfoon ke saaye mein chup ke ji letaa

magar ye ho na sakaa aur ab ye aalam hai
ke tuu nahi, teraa Gham, teri justajuu bhi nahi

guzar rahii hai kuchh is tarah zi.ndahii
jaise ise kisii ke sahaare kii aarazuu bhii nahii.n

zamaane bhar ke dukhoon ko lagaa chukaa hoN gale
guzar rahaa hoN kuchh anjaanii guzar_gaahoon se

muheeb saaye meri simt baDate aate hain
hayaat-o-maut ke pur_haul Khaarazaaroon se

na koi jaga na manzil na roshani kaa suraaG
bhaTak rahi hai Khaalaaoon mein zindagi meri

inhi Khalaaoon mein rah jaaoNgaa kabhii khokar
main jaantaa hooN meri ham-nafas magar yuN hi

kabhi kabhi mere dil mein Khayaal aataa hai



++++++++++^^^^^^^^^^++++++++++



Aa Apni Zindgi Ki Har Sham Terey Naam Kar Doon
Teri Hi Aankhoon Ka Jam Terey Naam Kar Doon

Main Dhoob Jaoon Teri In Jheel Si Gahri Aankhoon Main
Phir Apni Barbadi Ka Ilzam Terey Naam Kar Doon Main

Apni Rooh Ko Terey Wajood Main Bhar Doon
Phir Apni Zaat Apna Har Payam Terey Naam Kar Doon

Tu Mujhay Mohabbat Ka Aghaz Day Sanam
Main Apnay Pyar Ka Anjam Terey Naam Kar Doon

Mohabbaton K Qaseeday Likhoon Teri Sana Main
Hazaroon Pyar K Paygham Terey Naam Kar Doon

Ho Jis Ka Zikar Mohabbat Ki Har Kahani Main
Ek Aisa Pyar Ka Paygham Terey Naam Kar Doon



++++++++++^^^^^^^^^^++++++++++



Dil jalon say dil jalon ka rabta acha laga
Do ghari ke baithnay ka silsila acha laga

 Koi khoby tu na thi mujh main kay chaha jaaun main
 Phir najanay kyun usay chahra mera acha laga

 Raat sari jaginey kay baad mujh ko suba dam
 Neem baz aankhon say us ka dekhna acha laga

Sar meray sinay par rakh kar us nay
sharmatay huwe Saath jeenay marnay ka vaada kiya - acha laga

 Apnay chahray pay jo dekay un kay honton kay naqoosh
Mudatton kay baad mujhay aaina acha laga

Umar bhar jagay mager JAFFER us shab ki aasam
 Saath un ko bhi jaga kar - jagna acha laga




++++++++++^^^^^^^^^^++++++++++



Rukhsat Howa To Baat Meri Maan Ker Gaya
Jo Uss Ke Paas Tha Wo Mujhe Daan Ker Gaya

Bichra Kuch Iss Adda Say Ke Rut Hi Badal Gay
EK SHAKS Saray Shahr Ko Veeraan Ker Gaya

Dilchasp Waqiya Hai Ke Kal Ek Dost.....
Apney Mufadat Par Mujhey, Qurbaan Ker Gaya

 Kitni Saudhar Gayi Hai Judaai Mei Zindagi
Haan Woh Jafa Jo Mujh Pe ihsaan Ker Gaya

Mein Baat Baat Par Kehta Tha Jisko Jaan
Woh SHAKS Akhir Mujh Ko “ BE JAAN “ Ker Gaya



++++++++++^^^^^^^^^^++++++++++


Manzile bhi uski thi, Rasta bhi uska tha.
Ek main akela tha, Kafila bi uska tha..

Sath-Sath chalne ki soch bi uski thi,
Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha...

Aaj kyo akela hoon, Dil sawal karta hai,
Log to uske the, Kya KHUDA bhi uska tha....?



++++++++++^^^^^^^^^^++++++++++



tumharay SHehar ka mosam bara suhana lagay
main ek sham chura lon ager bura na lagay

jo dobna hai tou itne sakon se dobo
k aas pass ke lehron ko bhi pata na lagay

tumharay bass main ager ho to bhol jao humin
tumhin bhulane main shayad humin zamana lagay

na jane kia hai kisi ke udass aankhon main
woh munh chupa k bhi jai to bewafa na lagay

humaray PYAR se julne lagi hai ek dunya
DUA karo kisi Dushman ke bad DUA na lagay


++++++++++^^^^^^^^^^++++++++++



saamnay na ho to tujh ko dhoondti rehti hoon main
saamnay aa jaa'e to kuch dhoondnay lagti hoon mein

dil to yeh kehta hay tum ko rok loon jaanay say main
kiya magar jaanay say tum ko rok bhi sakti hoon main

paaniyon kay paar gar tu ho kinaaray peh khara
kachha ghara lay kay to darya main utar sakti hoon main

ishq ki sarhad say hikmat ka guzar hota nahin
sochnay ki baat ho to soch bhi sakti hoon main

aa'inay kay rubaru bhi tum nazar aa'e ho to
khud ko apnay aap say bhi ajnabi lagti hoon main

mom ki guriya hoon lakin zindagi ki aag se
dil main jo jal jaa'e gi, us shama say darti hoon main

 door reh kay qurbaton ka hay ulag apna mazaa
paas aa kay door ho ja'oon to ho sakti hoon main

gar tumhari zid sitaaray aasman say noch lay to
baadalon say chaand ja kay cheen bhi sakti hoon main

 tu hawa ban kay agar aa jaa'e apni zid pe to
shaakh kay pattay ki tarha say bikhar sakti hoon main

 dil mera jo tum se baatain kerta rehta hay sada
kiya kabhi woh rubaru ho kay bhi keh sakti hoon main

is zamin ki ghaatiyon say tu agar shikwa karay
aasman say waapsi ka safar kar sakti hoon main


++++++++++^^^^^^^^^^++++++++++



Kabhi Sayeban na tha baham
Kabhi kehkashan thi qadam qadam

 kabhi be maqa'an kabhi la makkan
meri adhi umer guzr gaye

Usay pa lia usay kho dia
Kabhi has diya kabhi ro diya

Bari mukhtasir si hai yeh dasta'an
 Meri adhi umer guzre gaye..



++++++++++^^^^^^^^^^++++++++++


Aker Meray Honton Ke Hararat Say Pocho
Kuean Wo Teray Ehsas Say Mehak Jatay Hayn

Aker Meray Anssoon ke Shararat Say Pocho
Kuean Wo Teri judai Say Dehak Jatay Hayn

Aker Meray Zehan K khad-o-khal say pocho
Kuran wo tujhe soch soch ker lehak jatay Hayn

Aker Meray Jabzoo ke raftar say pocho
Kuean wo teray nam say behak jatay Hayn

Aker Meray ghumoon k dar-o-devar say Pocho
Kuean un Per Teri Yaadon K saye chehak jatay Hayn



++++++++++^^^^^^^^^^++++++++++



Jo Meri aankhon se Khuaab dekho
To Aik shab bhi na So sako Gay Ke

Laakh Chaho Na Hans sako gay
Hazaar chaho na Ro Sako gay’

Ke Khuaab kya hain Azaab Hain ye
Mere Dukhon ki kitaab hain ye

Rifaqatain In main Chotti hain
Mohabbatain in main Roothti hain

Pinapti Hain In main Vahshatain see
Azyatain In main Photti hain

Un hi ke Dar se Khizaan Hain Jazbay
Un hi se shakhain see tot’ti hain

Ghamon ki Bandish hain Khuaab mere
 Ahal Raha hai Dukhon ka Lava

Rahen Aatish hain khuaab Mere Khayal sare
Jhulaas gay hain Sulagti Khuahish hain

khuwaab Mere Ukharrti Sansain hain
Zindagi ki Lahu ki Sazish hain Khuaab Mere

Jo Meri aankhon se Khuaab dekho
To Aik shab bhi na So sako Gay

+++++^^^^^^^^^^++++++++++^^^^^^^^^^+++++

No comments:

Post a Comment