SALMAN KHAN

Monday, May 9, 2011

~~~(( GHAZALS 6 ))~~~


TUMHAARI RAAH MAIN

Tumhaari raah main mitti ke ghar nahi aate
Isii liye to tumhein hum nazar nahi aate

MuhabbatoN ke dinon ki yehii kharaabi hai
Ye rooth jaayein to phir laut ker nahi aate

Jinhein saliqa hai tehziib-e-gham samajhne ka
Un'hi ke rone main aansoo nazar nahi aate

Khushi ki ankhon main ansoo ki bhi jagah rakhna
Bure zamaane kabhi pooch ker nahi aate


Posted by Salman Khan



JALTA HUWA CHARAAGH UTHA..


Jalta hua charaagh utha le gaya koii
Itni si roshnii bhi chura le gaya koii

Ghar me paRa hua tha mein saaman ki tarah
Kya le gaya jo maire siwa le gaya koii

Hangama tha, fasad tha aur loot'mar thi
Yoon bhi hua ke mairi qaza le gaya koii

Mushkil se maire shehr mein aaii thi shanti
Mazhab ka naam le ke bula le gaya koii

Hisse mein bhook mil gaii her kaashtkaar ko
Khaiton mein jo anaaj paka le gaya koii

Waise to is pahaR ka hilna muhaal tha
Ashkon mein zindagi ko baha le gaya koii

Gulshan mein ab Hayat gulon ki bahaar hai
Kaante to mujh sa aabla'pa le gaya koii


Posted by Salman Khan


 

No comments:

Post a Comment