SALMAN KHAN

Sunday, May 1, 2011

~~~ GHAZAL ~~~

Jab shaam aangan men


Jab shaam aangan men utar aye to mujhe yaad karna,
Jab chandni har soo bikhar jaye to mujhe yaad karna,

Shabb gehri ho aankhon men bhi khwaab hon,
Aur kisi ki yaad tumhe sataye to mujhe yaad karna,

Kabhi aisa ho aansu chunne wala koi na ho,
Aur rone ko bhi jee chahe to mujhe yaad karna,

Jab koi na aye tumhari sachai sunne ke liye,
Dard hab hadd se barh jaaye to mujhe yaad karna,

Agar kabhi akele ho tum apne aap men,
Aur ye akelapan tum ko rulaye to mujhe yaad karna.


Posted by salman khan


Mohabbat Ki Wakalat


Ab Mohabbat Ki Wakalat Nahin Ki JaSakti ,
Shehar Bhar Se To Ada’awat Nahin Ki JaSakti ,

Mera Chehra Meri Aankhen Hain Salamat Ab Tak …
Kon Kehta Hai Wazaahat Nahin Ki JaSakti ,

Baat Ye Hai Ke Koi Toot Kar Chahey to Sahi ,
Hr Kisi Se To Mohabbat Nahin Ki JaSakti ,

Aankh Kehti Hai Kahin Aur Chaley Jayen Hum …
Dil Ye Kehta Hai Ke Hijrat Nahin Ki JaSakti ,

Loh-E-Dil Per Yahi Tehreer Likhi Hai Dost …
Ishq Walon Ko Naseehat Nahi Ki JaSakti.


Posted by salman khan at


Badal geya hoon mein


Teray Hisaar se Bahir nikal gaya hon Main
Tu theek kehta hay Shayed Badal gaya hon Main

Tujhe khabar nahi kaisay Sarab Rasstay the
Khuda ka shukr k phir bhi Sambhal gaya hon Main

“MERE ilawa bhi TUJH ko Azeez hay KOI
Zara si bat pe aise hi Jal gaya hun Main”

Yeh paon jante hain Waqt e Hijr kaisa hay
Qadam Qadam kisi pathar mein dhal gaya hon main

Utha liya hay Sitaron ne Asman sar par
Zraa jo Chand ki khatir Machal gaya hun Main


Posted by salman khan


Kash Kabi Hota

Kash Kabi Hota Ye Mere Ikhtiyar Mai
Man Rang Deta Tujhe Apne Pyar Mai

Man Itna Pyar Deta Tujhe JanArzoo
Tum Khud Ko Bhula Dete Mere Aitbar Mai

Tum Jo Mujhe Bulate Mulaqat K Liye
Bechain Ho K Phirte Mere Intezar Mai

Man Dair Se Jo Aata Naraz Ho K Tum
Har Baat Ka Jawab Dete Inkar Mai

Tum Jo Roth Jate Muj Se Kisi Bat Pe
Man Tmhein Manata Bare Pyar Se

Maan Kar Tum Mujh Se Sirf Ye Khte
Hai Nahi Koi Kmi Jan Tere Pyar Main


Posted by salman khan


Khusbhu Se Masroor Kardo


Mujhe Apnay Badan Ki Khusbhu Se Masroor Kardo,
Mujhe Apni Nazuk Bahon Mein Mehsoor Kardo,

Seenay Se Laga K Saaray Gham Door Kardo,
Main Tumse juda Na Ho Paon Itna Majboor Kardo,

Surkh Honton Se Pilao Ya In Mast Ankhon Se,
Main Tere Jism Se Lipta Rahun Itna Choor Kardo,

Leke Bahon Mein Tujhe Honton Se Itna Choom Lon,
Faslay Sharam-o-Haya K Tum Bhi Door Kardo,

Meri Nas Nas Mein Bas Jaye JAAN Pyaar Tera,
Main Kissi Or Ko Na Dekhun Itna Maghroor Kardo…


Posted by salman khan


Dekha palatt k

Dekha palatt k maine, hasrat ussay bi thi
Hum jiss par mitt gaye thay, MUHABBAT ussay bhi thi

Chup ho gaya tha dekh kar woh bhi idher udher
Duniya se meri tarah shikayat ussay bhi thi

Ye soch kar andheray ko galay se laga liya
Raaton ko jaagnay ki aadat ussay bhi thi

Woh roo parha tha mujh ko pareshan dekh kar
Us din bhola k meri zaroorat ussay bhi thi

Un pathron k saath nibhaani padi ussay
Jin se nafrat mujhe thy, nafrat usay bhi thi


Posted by salman khan



Mujhe ek manzil-e-khaas


Mujhe ek manzil-e-khaas ka na pata chala, yeh bura hua
meri justaju, meri aarzoo, hui raaigaN, yeh bura hua

meri zest maut se kam nahi, mera gham bhi ab mera gham nahi
teri dastaaN meiN sama gai meri dastaaN, yeh bura hua

mujhe apne naghmoN se hai gila, mera raaz raaz na reh saka
woh jale chiraaghoN ki tarha, woh utha dhuwaan, yeh bura hua

tere intezaar meiN baith kar, mujhe zindagi to mili magar
mera saath choD ke chal diya, mera karwaaaN, yeh bura hua

mujhe yaad thi yeh na thi khabar, mere gham meiN hai bada asar
meri ek aah se jal gaye, kai aashiyaaN, yeh bura hua.


Posted by salman khan


Dukh Dard Kay Maaron

Dukh Dard Kay Maaron Say Mera Zikar Na Karna
Ghar Jao Toh Yaaron Say Mera Zikar Na Karna

Woh Zabt Na Kar Paayein Gi Aankhon Kay Samandar
Tum Raah Guzaaron Say Mera Zikar Na Karna

Phoolon Kay Nasheman Mein Raha Hoon Mein Sadaa Say
Daikho Kabhi Khaaron Say Mera Zikar Na Karna

Shayed Yeh Andheray Hi Mujhe Raah Dikhayein
Ab Chand Sitaaron Say Mera Zikar Na Karna

Woh Meri Kahani Ko Ghalat Rung Na Day Dein
Afsana Nigaaron Say Mera Zikar Na Karna

Shayed Woh Meray Haal Pay Be-Sakhta Ro Dein
Is Baar Bahaaron Say Mera Zikar Na Karna

Lay Jaayein Gi Gehraai Mein Tum Ko Bhi Baha Kar
Darya Kay Kinaron Say Mera Zikar Na Karna

Woh Shakhs Milay Toh Usay Har Baat Batana
Tum Sirf Ishaaron Say Mera Zikar Na Karna


Posted by salman khan


Meri wafa ne banaya hai bewafa


Karoon to kis liye aakhir karoon malal us ka,
usey nahin to mujhey bhi nahin khayal us ka,

Meri wafa ne banaya hai bewafa us ko,
Kisi ada par nahin hai kamal us ka,

Mere naseeb ki yeh bhi to khush naseebi hai,
Ke mujh ko dekh ke sab pochte hain hal us ka,

Yehi doa main karon har baras ke pehley din,
Mere bagher na guzre koi bhi saal us ka,

Mere urooj ko us ke naseeb main likh dey,
KHUDA-E-PAK mujhey soonp de zawaal us ka..


Posted by salman khan



Mahobbaton ka dawa


Jo kabhi teri nazar se guzar jaya kerte hain
woh sitare aksar toot ke bikhar jaya kerte hain

Hum kisi se mahobbaton ka dawa to nahi kerte
haan magar wafaon pe hum mar jaya kerte hain

Mausam ke hijir bhi.. ye guzare ga to kabhi
mausam ke isi aas main guzar jaya kerte hain

Mohabbaton ki ehmiat se waqif nahi hai woh
kuch log bas inhi se sawar jaya kerte hain

Bujhati to nahi barishoon se selaab hi sada
phir teri wafa se kyun hum dar jaya kerte hain

Kuch log apne dukhoon ki numaish nahi kerte
bas khamoshi se ander hi bikhar jaya keret hain

Woh aansoo jo palkoon ki zeenat nahi bante
woh chup chap se dil main utar jaya kerte hain


Posted by salman khan


Bari Uljhano Main Hon


Tere Qareb Aa Kay Bari Uljhano Main Hon,
Main Dushmanon Main Hon K Tere Doston Main Hon,

Badla Na Mere Baad Bhi Mouzu-E-Guftago,
Main Ja Chuka Hon Phir Bhi Teri Mehfilon Main Hon,

Mujh Se Bichar K Tu Bhi To Roeyga Umer Bhar,
Yeh Soch Lay K Main Bhi Teri Khuwahishon Main Hon,

Tu Hans Raha Hai Mujh Pey Mera Haal Daikh Ker,
Or Phir Bhi Main Shareek Tere Qehqahon Main Hoon.


Posted by salman khan


Kismat K Wisaal-E-Yaar Hota,,,,Ghalib,,

Yeh Na Thi Humari Kismat K Wisaal-E-Yaar Hota ?
Ager Or Jeete Rehte Tu Yehi Intazar Hota,

Kahoon Kiss Se Main K Kia Hai,
Shab-E-Ghum Bori Bala Hai,
Mujhe Kia Bora Tha Marna,
Ager Aek Baar Hota,

Yeh Na Thi Humari Kismat K Wisaal-E-Yaar Hota ..

Koei Mere Dil Se Poche,
Tere Teer Neem Kash Ko,
Yeh Khalish Kahan Se Hoti,
Ju Jiger K Paar Hota,
Tere Wade Per Jiye Hum,
Tu Yeh Jaan Jhot Jana,
K Khoshi Se Mar Na Jate Ager Etbaar Hota,

Yeh Na Thi Humri Kissmat K Wisaal-E- Yaar Hota

Yeh Kahan Ki Dosti Hai.
K Bane Hain Dost Saqi.
Koi Chehra Saaz Hota.
Tu Yeh Na Ghumm Saath Hota.


Posted by salman khan


Na Pooch

Kitni Mushkil Se Kati Kal Ki Meri Raat Na Pooch
Dil Se Nikli Hui Honton Me Dabi Baat Na Pooch

Wo Kis Adaa Se Merey Saamnay Se Guzraa Abhi
Kis Tarha Mainay Sambhaley Merey Jazbaat Na Pooch

Waqat Jo Badley To Insaan Badal Jaatey Hain
Kya Nahi Dikhlaatey Yeh Gardish-E-Halaat Na Pooch

Wo Kisi Ka Ho Bhi Gaya Or Mujhey Khabar Na Hui
Kis Tarhan Usney Chudaya Hai Mujh Se Haath Na Pooch

Is Tarhan Pal Mein Mujhay Begana Kar Diya Usnay
Kis Tarhan Apno Se Khaai Hai Mainey Maat Na Pooch

Ab Tera Pyaar Nahi Hai To Sanam Kuch Bhi Nahi
Kitni Mushkil Se Bani Thi Dil Ki Kayenaat Na Pooch


Posted by salman khan


Chahat Ki Mehfil


Chahat Ki Mehfil Main Bulaya Hai Kisi Ne,
Khud Bula Ker Phir Sataya Hai Kisi Ne,

Jab Tak Jali Hai Shama Jalta Raha Parwana,
Kiya Is Tarhan Saath Nibhaya Hai Kisi Ne

Armaan Mere Raiza Raiza Ho Gaye Hain,
Yun Kil K Aangan Say Giraya Hai Kisi Ne,

Aag Lagi Hai Dasht Main Koi Kiya Bhujaye Ga,
Dil Is Tarah Say Aaj Jalaya Hai Kisi Ne,

Dil Rota Hai Raat Bhar Yaad Kar K Kisi Ko,
Is Tarhan Ulfat Main Zakham Khaya Hai Kisi Ne,

Sangdil Jo Tha Aaj Woh Bhi Ro Parha
Us Ko Bhi Tarpaya Hai Kisi Ne


Posted by salman khan


Bicharney Ka Ishara Karkey


Baaton Baaton Mian Bicharney Ka Ishara Karkey
Khud Bhi Roya Woh Buhat Ham Se Kinara Karkey

Sochta Rehta Hoon Tanhai Main Anjam-E-Khuloos
Phir Usi Jurm-E-Mohabbat Ko Dobara Karkey

Jagmaga Di Hain Terey Shehrer Ki Galiyan Main Ne
Apney Askhon Ko Palkon Pe Sitara Karkey

Dekh Letey Hain Chalo Hosla Apne Dil Ka
Aur Kuch Roz Tere Saath Guzara Karkey

Aik Hi Sheher Main Rehna Hai Magar Milna Nahi
Dekhtey Hain Yeh Aziyat Bhi Gawara Karkey


Posted by salman khan


Moom Ki Tarha Pigalty Howe Dheka Usko

Moom Ki Tarha Pigalty Howe Dheka Usko,
Rut Jo Badli To Badalty Howe Dheka Usko..

Wo Jo Kanto Ko B Narmi Se Chuwa Krta Tha.
Humney Phoolo Ko Masalty Howey Dheka Usko ,

Jany Wo Mangny Jata Hy Duwaoon Mai Kisy,
Hath Uthathy He Sisikty Howe Dheka Usko


Posted by salman khan


Khawabo Ki Koi Khawhish Nahi


Ab Mujhe Khawabo Ki Koi Khawhish Nahi
Jee Raha Chaman Me Suman Ki Khawhish Nahi

Woh Aaye The Roshan Karne Jahan Hamara
Ab Koi Aur Gam E Bewafai Ki Khawhish Nahi

Yun To Kate Hue Paron Leke Jaun Kahan Tak
Gar Mil Bhi Jaye Pare Udan Ki Khawhish Nahi

Tanha Lagata Hei Darr Kab Tak Sambhalu Khud Ko
Samane Jaam E Dost He,Mahefil Ki Khawhish Nahi

Bhale Hi Rahe Janaja Bich Rah Pe ?Pyasa?
Bedrd Jamane Ke Kandhe Ki Koi Khawhish Nahi


Posted by salman khan

No comments:

Post a Comment