SALMAN KHAN

Saturday, May 7, 2011

~~~(** 2 **)~~~


~~~(**  **)~~~~~~(**  **)~~~~~~(**  **)~~~

yad k Deep Jalanay walay ,
KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN

Apni Jaan se Janay walay ,
KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN

Hijar kay gehraay zakham milay
to mujh ko yeh Ehsas hoa

Pagal ko samjhanay walay ,
KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN

jaan se pyaray Logoon se bhi
kuch kuch parda laazim hay

Saari Baat Batanay walay ,
KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN

Us kay ishq main bheeg kay
hum ko yeh ehsas hoa

Dil ki Baat main Aanay walay ,
KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN


~~~(**  **)~~~~~~(**  **)~~~~~~(**  **)~~~


Tere ishq ki inteha chahata hon
meri sadgi dekh mein kiya chahata hon

ye junnat mubarik rahe zahidon ko
ke mein app mein samana chahata hon

kuch dam ka mehmaaan hon aey ahal_e mehfil
chiragh_e_sahar hon, bhujanna chahata hon

bhari bazm mein raaz ki baat keh di
banda bey-adab hon, saza chahata hon


~~~(**  **)~~~~~~(**  **)~~~~~~(**  **)~~~



Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai,
Tere hathon ki lakiron mein mera naam to hai

Mujko tu apna bana ya na bana teri khushi,
Tu zamane mein mere naam se badnaam to hai

Mere hisse mein koi jaam na aaaye na sahi,
Teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai

Dekh kar log mujhe naam tera lete hain,
Isi pe main khush hoon mohabbat ka ye anjaam to hai

Woh sitamghar hi sahi dekh ke usko ,
Shukar is dil-e-bimaar ko aaraam to hai

Tu kahin bhi rahe sar pe teray ilzaam to hai,
Tere hathon ki lakiron mein mera naam to hai-


~~~(**  **)~~~~~~(**  **)~~~~~~(**  **)~~~



tumhaare waaste hi aisa bhais rakhte hain
nami aankhon mai honton pe hansi rakhte hain

tumhi gar ajnabi raho ge to ab jaayen kahan
hum to is shehar mai tum se pehchaan rakhte hain

yeh dil bhi dil tha yeh khandar to nahi tha pehle
ab yahan gham ko hum pathar bana ke rakhte hain

kabhi to thak ke har aass toot jaaye gi
abhi kitabon mai hum bhi ghulaab rakhte hain

kisi ka gham tere gham se na barh ke hone diya
hum teri cheezon ka itna khayal rakhte hain,,



~~~(**  **)~~~~~~(**  **)~~~~~~(**  **)~~~


Tera Dard tha,teri yaad thi main jahan gaya main jidhar raha
mera din tu yunhi guzar gaya junhi shaam hui main bikhar gaya

is abar ka mere yaar se barha milta julta mizaj hai
kabhi toot k baras gaya kabhi berukhi se guzar gaya

jab chorr doon ga main wo gali usay yaad aye gi tab meri
khojaay ga wo tab mujhe usay khabar milay gi main mar gaya

abhi tang hai mere naaam say mere baad aye ga wo dostoon
wo tumhi ko rok k pochay ga WO KAHAN PE HAI..WO KIDHAR GAYA??


~~~(**  **)~~~~~~(**  **)~~~~~~(**  **)~~~



humse chahat na iss tarah jataya karo,
durr rahte ho kyun, paas aaya karo,

tera jalwa kabhi humne dekha nahin,
kabhi chehra humein bhi dikhaya karo,

roz gairon ki majlis mein jate ho tum,
kabhi tou apni mehfil bhi sajaya karo,

hum ranjeeda bhi hai neend-deeda bhi,
aa ke dil tum humara behlaya karo,

teri majbooriyon ki khabar hai mujhe,
baat baat per kasmein na khaya karo,

tere waade per humne bharosa kiya,
kuchh tou ulfat ka tum bhi haqq nibhaya karo,

chahne wale ki chahat per kar lo yakeen,
roshni mein diye na jalaya karo,

hum bhi humraaz hai tum bhi humraaz ho,
dil ki baat hum se na chhupaya karo..........



~~~(**  **)~~~~~~(**  **)~~~~~~(**  **)~~~


Aesa Nahi Kay Tujhsay "Muhabbat" Nahi Humien...
Ghum Roz Roz Sehnay Ki "Aadat" Nahi Humien...

Her Baar Tere Samnay Sir Ko "Jhuka" Liaa...
Aur Phir Bhi Dekh Tujh Sai "Shikayat" Nahi Humein...

Tu "Aitebaar" Ker Kay Tujhe Chahate Hein Hum...
Tere Siwa Kise Ki Bhi "Chahat" Nahi Humein...

Hum Jantey Hein Tu Bhi Hai "Tanha" Humare Bin...
Auron Sai Pochnay Ki "Zaroorat" Nahi Humein...

Kese Rahien Gain "Bin Tere" Ab Baat Maan Lay...
Tere Bagher Rehne Ki "Aadat" Nahi Humein...!!



~~~(**  **)~~~~~~(**  **)~~~~~~(**  **)~~~


Akhon ka rang bat ka lehja badal gaya
Wo shaks ek sham main kitna badal gaya

Kuch din tou mera akks raha aaenay pay naksh
Phir youn hoa kay khud mera chehra badal gaya

Jab apnay apnay hal pay hum tum na reh sakay
Tou kiya hoa jo hum say zamana badal gaya

Qadmoo talay jo rayet bechi thi chal pari
Us nay choraya hath tou sehra badal gaya

Koi bhi chez apni jaga per nahi rahi
Jaatay he ek shaks kay kiya kiya badal gaya

Ek sarkhushi ki moj ne kaisa kiya kamal!
Wo bayniaz saray ka sara badal gya

Uth kar chala gya koi waqfe ke darmian
Parda utha tou sara tamasha badal gya

Hairat say saray lafz usay dekhtay rehay
Batoon mai apni bat ko kaisa badal gya

Kehne ko eik sehan mai diwar hi bani
Ghar ki fiza makan ka naksha badal gya

Shayed wafa ke khel se ukta gya tha wo
Manzil kay paas a kay jo rasta badal gya

Kaim kisi hal pe duniya nai rahi
Tabeer kho gai kabhi sapna badal gya

Manzir ka rang asal mai saya tha rang ka
Jis nay usay jidher say bhi dekha badal gya



~~~(**  **)~~~~~~(**  **)~~~~~~(**  **)~~~



Najaney kyon jab bhi udaas hota hai ...
Woh mera naam likh deta hai ...

Woh aksar mujhay...
Zindagi ka khayal likh deta hai ...

Kehta hai hans kar kia naam doon tumhain ..
Phir humesha ki tarhaan sawal likh deta hai ...

Jaanta hai khud ko, phir bhi shararat main ...
Aksar woh apni nazroon ko anjaan likh deta hai ...

Jab doon misaal kisi cheez se mohabbat ko ...
Woh humesha chup ho kar bemisaal likh detahai ...

Woh bohot khush hai zindagi se ...
Laikin aksar utha kar zindagi ko wabal likh deta hai ...

Jab hoon main us k pass tou aksar woh ...
Mere wajood ko khayal likh deta hai ...

Main uski is deewangi ko hans kar taal deta hoon ...
Or woh meri is ada ko bhi kamal likh deta hai ...

Jab kabhi main chup ho jaoon Woh andeshoon main ghir jata hai ...
Or meri chup ko mohabbat ka zawal likh deta hai ...

Main bohot khush hoon ... ..................Laikin phir bhi ...
Najane kyon wo aksar Meri aankhoon ko dekh kar weeraan likh deta hai



~~~(**  **)~~~~~~(**  **)~~~~~~(**  **)~~~



Ishq Bekaar, Muhabbat Barbaad
Shoalaa-e-Dil Ki Hararat Barbaad

Main Use Bhuul Na Paayaa Ab Tak
Saal-Haa Saal Ki Mehnat Barbaad

Koi Suntaa He Nahii'n Qissaa-e-Dard
Harf Barbaad, Hikaayat Barbaad

Vo Hai Naaraaz Abhii Tak Mujh Se
Minnatein Zaaya, Samaajaat Barbaad

Us Pe Khultaa He Nahii'n Haal Mera
Saarii Tashriih-o-Vazaahat Barbaad

Kaun Barbaad Karegaa Mujh Ko
Main Hoon Khud Apnii Ba-daulat Barbaad

Ab Bhi Hain Uskii Galii Ke Pheray Baarish,
Sang-e-Malaamat Barbaad

Ab Bhii Aabaad Hain Yaadein Uskii
Ehtimaam-e-Gham-o-Furqat Barbaad

Be-Talab Us Ne Talab Kii Puurii
Ho Gayii Saarii Ibaadat Barbaad

Maut Ko Bhii Tuu Parakh Kar Dekh
Ziist Barbaad, Nihaayat Barbaad

Haasil-e-Jazb-e-Wafaadaarii “Naim”
Zaayaa, Bekaar, Akaarat, Barbaad


(**  **)~~~~~~(**  **)~~~~~~(**  **)(**  **)~~~~~~(**  **)~~~~~~(**  **)

No comments:

Post a Comment