SALMAN KHAN

Sunday, May 1, 2011

~~~GHAZAL 1~~~

Koi Armaan Dil Main Machalta Hi Nahi

Kio Rakhun Main Apny Kalam Main Siyahi ….
Jab Koi Armaan Dil Main Machalta Hi Nahi ….

Na Jany Kio Sabi Shak Kertay Hain Muj Par ….
Jab Sukha Gulaab Meri Kitabun Main Milta Hi Nahi ….

Kashish Tu Bohat Thi Meray Piyar Main ….
Magar Kiya Keru Koi Pathar Dil Piglta Hi Nahi ….

Ager Khuda Milay Tu Us Se Apna Piyar Mangun Ga ….
Par Suna Hay Wo Marney Se Pehlay Kisi Se Milta Hi Nahi ….


Posted by salman khan


Yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise

yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise

log yuun dekh kar hans dete hain
tuu mujhe bhool gayaa ho jaise

ishq ko shirk kii hadh tak na badhaa
yuun na mil hamse Khudaa ho jaise

maut bhii aaii to iss naaz ke saath
mujh pe ehasaan kiyaa ho jaise

aise anjaan bane baithe ho
tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise

hichkiyaan raat ko aatii hii rahiin
tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise

zindagii beet rahii hai “nawab”
ek bejurm sazaa ho jaise


Posted by salman khan


Jaise Insan Ka Rishta Khud Apnay Ap se Hai

Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai,
Tu Khafa Meri Kis Baat Se Hai,

Tu Bhi Na Uljha Kar Mujhse Is Tarah,
Jo Tu Achi Tarah Wakif Mere Jazbat Se Hai,

Main Kaise Ji Lon Tumse Rooth Kar,
Meri Har Saans Wabasta Teri Yaad Se Hai,

Mera Taluk Jura Hai Kuch Is Tarah Tumse,
Jaise Insan Ka Rishta Khud Apnay Ap se Hai……!!!!


Posted by salman khan


Apne hathon ki lakeeron se mita don tujh ko


Apne hathon ki lakeeron se mita don tujh ko?
Kaise mumkin hay k main aise dagha don tujh ko

Sochta hon main kisi tor bhula don tujh ko
Apni yaadon se kisi roz mita don tujh ko

Tu na mil paye mujhe aisi Dua don tujh ko
Hosla hota nahin dagh e wafa don tujh ko

Mere daman mein andheron k siva kuch bhi nahin
Yeh kisi roz,kisi roz bata don tujh ko

Aitbar e dil e awara nahin hay mujh ko
Is ki dharkan mein bhala kaise basa don tujh ko

Aag si lagti hay seenay mein shab o roz Khalish
Yeh na ho khud bhi jalon aur jala don tujh ko


Posted by salman khan


Kahan hotay ho ?

Hijar Mein Khoon Rulatay Ho,Kahan Hotay Ho?
Laut Kar Kyun Nahi Aatay Ho,Kahan Hotay Ho?

Mujh Se Bichray Ho To Mehboob e Nazar Ho Kis k?
Aaj Kal Kis Ko Manaty Ho,Kahan Hotay Ho?

Yaad Aati Hain Akaily Mein Tumhari Neendein
Kis Tarah Khud Ko Sulaty Ho,Kahan Hotay Ho?

Tum To Bichray They Khushion Ki Rafaqat k Liye
Ab Kiun Ashk Bahaty Ho,Kahan Hotay Ho?

Shehar k Log b Kartay Hain Ab Yehi Sawal
Tum bohat Kam Nazar Aatay Ho,Kahan Hotay Ho…???


Posted by salman khan


Kafi Arsa Beet Gyaa


Kafi Arsa Beet Gyaa Janay Ab Woh Kaisa Hoga
Waqt Ki Sari Kerwi Batain Chup Chap Sehta Hoga

Ab Bhi Bhegge Brish Mein Woh Bn Kay Chatri Chalta Hoga
Mujhsay Bichray Arsa Beeta Ab Wo Kis Se Larta Hoga

Acha Tha Jo Sath Hi Rhety Baad Mein Os Nay Soccha Hoga
Apnay Dil Ki Sari Baatain Khud Say Khud Hi Karta Hogaa …


Posted by salman khan


Kiyon Tabiaat Kahin Theharti Nahi

Kiyon Tabiaat Kahin Theharti Nahi
Dosti Tau Udaas Karti Nahi

Hum Hamesha Ke Ser Chashm Sahi
Tujh Ko Dekhain Tau Aankh Bharti Nahi

Shab-e-Hijraan Bhi Roz-e-Bad Ki Tarah
Kutt Tau Jaati Hai Par Guzarti Nahi

Sher Bhi Aayton Se Kiya Kum Hein
Hum Pe Mana Wahi Utarti Nahi

Yeh Mohabbat Hai, Sun Zamany Sun
Itni Aasanion Se Marti Nahi

Jiss Tarah Tum Guzaarty Ho Faraz
Zindagi Iss Tarah Guzarti Nahi


Posted by salman khan


ab aur kya kisi se marasim burha’ein hum

ab aur kya kisi se marasim burha’ein hum
yeh bhi bohut hai, tujhe bhool ja’ein hum

sehra-e zindagi mein koyee dosra na tha
sunte rahe hein aap hi apni sada’ein hum

iss zindagi mein itni fraghat kise naseeb
itna na yaad aa ke tujhe bhool ja’ein hum

tu itni dil zada tau na thi ai shub-e firaq
aa tere raaste mein sitare lota’ein hum

woh log ab kahan hein jo kehte they kal faraz
heh heh khuda na karda tujhe bhi rula’ein hum


Posted by salman khan


aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa


aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa

itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to dar jaayegaa

tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur wo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa

zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa

duubate duubate kashtii to ochhaalaa de don
main nahiin koii to saahil pe utar jaayegaa

zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa ‘Faraz’
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa


Posted by salman khan


DIL

Qurbaton men bhi judai ke zamane maNge
Dil vo bemehar ki rone ke bahane maNge

Apana ye hal ke ji har chuke luT bhi chuke
Aur muhabbat vahi andaz purane maNge

Ham na hote to kisi aur ke charche hote
Khalqat-e-shahar to kahane ko fasane maNge

Dil kisi hal pe mane hi nahin jan-e-`Faraz`
Mil gaye tum bhi to kya aur na jane maNge


Posted by salman khan


Lamhy Yaad Rakhta Hoon


Main Logo’n Se Mulaqato’n K
Lamhy Yaad Rakhta Hoon

Main Baatai’n Bhuul Bhi jao’n
Tou Lehjy Yaad Rakhta Hoon

Sar-e-Mehfil Nigahai’n Mujh Pe
Jin Logo’n Ki Parti Hyn
Nigaho’n k Hawaly Se
Wo Chehry Yaad Rakhta Hoon

Zara Sa Hut k Chalta Hoon
Zamany Ki Riwa’yat Se
K Jin Pe Bojh Main Daalo’n
Wo Kaandhy Yaad Rakhta Hoon

Posted by salman khan


Labon pe hansi


Labon pe hansi ankhon main sawal rakhta tha
is zarf main itna kamal rakhta tha

kia khaber thi mujhy hi bhool jae ga
jo meri ik ik cheez sanbhal rakhta tha

suna hai log ab boht sataty hain usy
main jis ka itna khyal rakhta tha

Posted by salman khan


Dil hi dukhany k liye

Ranjish hi sahi dil hi dukhany k liye aa
aa phir e mjhy chor k jany k liye aa

pehly se marasim na sahi phir b kabi to
rasm-o-rahy dunya hi nibhany k liye aa

kis kis ko bataen ge judai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai to zamany k liye aa

ab tak dil-e-khush fehem ko tujh se hain umeeden
ye aakhri shammen b bujhany k liye aa


Posted by salman khan


Dard kia hota hai

Dard kia hota hai batayein Gay kisi roz
Kamal ki Ghazal tum ko sunayein Gay kisi roz

Thi un ki zid k main jaaoun un ko manane
Mujh ko ye veham tha wo bulayein Gay kisi roz

kabi b maine to socha b nahi tha
Wo itna mere dil ko dukhayein Gay kisi roz

Har roz Sheshay se yehi poochta hoon main
Kia rukh pe tabassum sajayein Gay kisi roz

Urney do in parindon ko azaad fizaon mein
Tumhare hon agar to lout AAyein Gay kisi roz

Apne sitam ka dekh lena khud hi Saqi tum
Zakhum-e-jigar tamaam log dekhein Gay kisi roz


Posted by salman khan


Ik Shakhs tanha rota Raha hai

Ik Shakhs tanha rota Raha hai,
apne aansuo ko palko pe parota raha hai,

akeeda to tha usey piyar k karishmo par,
phir bhi karne se darta raha hai,

Chahat thi sada pas rakhne ki kisiko,
utna hi us se koi door jata raha hai,

Hai umeed usey kisi k lout aney ki aaj bhi,
Isi gumaan me janey kab se jeeta raha hai,

Posheeda hai ik taweel si dastaa us me,
Kon janey kisey chahta raha hai,

So jo nahi paa raha pathar k bichoney pe,
yakeenan kisi ki baaho me sota raha hai,

kasoor fakkat itna tha nadaa ka,
k gham duniya se chupata raha hai,

aaj tum kiska matam karte ho logo,
Wo to janey kab se marta raha hai,


Posted by salman khan


Ab Aansuoon Ko Aankhon Main


Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga

Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga

Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga

Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga

Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga

Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga

Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aye Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga…!!!


Posted by salman khan

No comments:

Post a Comment