SALMAN KHAN

Tuesday, May 10, 2011

~~~(( GHAZALS 8 ))~~~


MERI HAR GHAZAL KO....

Meri har ghazal ko ye aarzuu, karey aisey ko terey ruu-ba-ruu
Jo terey hi jaisa ho sar-ba-sar, jo tujhi se milta ho huu-ba-huu

Woh chaman-parast bhi hain yahan, jinhein aaj tak na khabar huii
Ke gulon ki jis se hai parwarish, rag-e-khaar mein hai wohi lahuu

Hui khatm sohbat-e-maikashi, yehi daagh seenon mein reh gaya
Ke tuloo’ honey se gaye, kaii aaftaab-e-khum-o-sabuu

Kaii lakh phoolon ke pair'han sar-e-baagh hans ke uRa diye
Zah-e-fasl-e-gul, wo hawa chali ke chaman ki le uRii aabruu

Tujhey pa ke khudh ko bhi paoon ga ke tujhi mein khoya hua hoon main
Yeh teri talaash hai is liye ke khudh apni hai justujuu

Huii wardaat-e-sehar yahan, to gulon ke seeney dhaRak gaye
Wo chali key tegh-e-naseem ne, kaii haath uchaal diya lahuu

Wohi aankh jaam-e-mai-e-haya, wohi aankh jaam-e-jahaan'numa
Jo nigaah uthti na thi kabhi, wo nigaah jaati hai chaar suu

Na ye bhed husn ka khul saka, na bharam ye ishq ka mit sakaa
Kisi roop mein ye hai tu ke main, kisi bhes mein ye hooN main ke tuu

Ab usi ka takiya zamaaney mein, suna hai ke marj’a-e-khalq hai
Jo “Firaaq” tere liye phiraa, kabhi dar-ba-dar, kabhi kuu-ba-kuu


Posted by Salman Khan




UDAASION KA SABAB JO LIKHNA TO....


udaasion ka sabab ju likhna tu yeh bhi likhna
k chand jaisa chehra,shahaabi ankhain badal gayi hain

woh lamhe ju teri rahoon main,tere anay k muntazir thay
woh thak k saaey'on main dhal gaye hain

woh teri yaadain khayal tere,woh teri batain,sawal tere,
woh tujh se mere tammam rishtey ujar gaye hain bikher gaye hain

kapkapate hontoon per larkharati dua k suraj,pighal gaye hain
tammam sapne jall gaye hain,pal pal tarapti shaamain badal gayi hain,

tanhayioun main machalti hoi raatain jal gayi hain
payyar k jalte hoye chiraagh bujh gaye hain



Posted by Salman Khan




WOH  HAMEEN HUM UNHEEN....


Woh hameen hum unheen bhulah bethye
Do gunahgar zaher khaa bathye

Aandiyo jao ab karo araam
Hum khud apna diya bhujha bathye

Uth k ek bewafa ne de di jaan
Rah gaye sarey baawafa bathye

Hashar ka din abhi hay duoor ”Khumaar”
Aap kyun zahidon main ja bathey



Posted by Salman Khan




JO TABASSUM SEY THEY.......


jO Tabasum Sey They gulfishaan wOhi Lab Hansi kO Tras Gye !
humi Shehar e Yaar e Hiyaat They humi Zindgii kO Tras Gye !

Yeh Ajeeb Subah e Bahaar hai kOi Zindgi Ki Kiran Nahi !
humi Khaliq e Mehr o maah They humi rOshni kO Tras Gye !

Yeh Chaman hai Kaisa Chaman K Jahaan Tahi Damni Hi Naseeb hai !
Yeh Bahaar Kaisi Bahaar hai K Kali Kali kO Tras Gye !

Na Karam Na kOi Ataab hai kOi Is Adda Ka Jawaab hai ?
Kabhi dOsti kO Tras Gaye Kabhi dushmani kO Tras Gaye !

wOhi ManzilOn Sey Bhatak Gaye Na JunOon Key Sath jO Chal Sakey !
jO Faraib e hOsh Main Aa Gaye Raah e Aagahi kO Tras Gaye !

hai Ajab Naseeb Yeh Ishq Ka Wafa Mili Na Jafa Milli !
Tere Iltafaat Ki Kya Khabar Teri Be-rUkhi kO Tras Gaye !

Main Payam Kaafir e Ishq, Meri Ghum Rahi Bhi hai Bandagi !
Key Fida e Ka'aba o Dair Bhi Meri Kaafri kO Tras Gaye !



Posted by Salman Khan



DYAAR-E-NOOR ME TERA.....

Dyaar-e-Noor Me Tera Shabo'n Saathi Ho,
Koi to Ho jo Meri WehShato'n ka Saathi Ho,

Main Us se Jhoot Bolu, To Mujh se Sach Bole,
Mere Mizaaj Ke Sab Mousamo ka Saathi Ho,

Main Us ke Haath Na Aaoo'n, Wo Mera Ho ke Rahe,
Main Gir Paroo'n to Meri Pastiyo ka Saathi Ho,

Kare Kalaam Jo Mujh se to Mere Lehje me,
Main Chup Rahu to Mere Tewaro'n ka Saathi Ho,

Wo Khwaab Dekhe to Mere Hawale se,
Mere Khyaal ke Sab Manzaro ka Saathi Ho....



Posted by Salman Khan




IS SHEHAR KHARABI MAIN.....


Is shehar kharabi main gham_e_ishq k mare
Zinda hain,yehi baat bari baat hay piyare

Yeh hansta huwa chand,yeh pornoor sitare
Tabanda paenda hain zaroon k sahare

Hasrat hay koi guncha hameen piyar se dekhe
Aarman hay,koi phool hameen dil se pokare

Har suba,meri suba pe roti rahi shabnam
Har raat,meri raat pe hanste rahe tare

Kuch aur bhi hain kaam hameen ae gham_e_jana
Kab tak koi uljhi hui zulfoon ko sanware



Posted by Salman Khan

No comments:

Post a Comment