SALMAN KHAN

Tuesday, May 10, 2011

~~~(( GHAZALS 9 ))~~~


BENAAM SA YE DARD......

Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata,
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata,

Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rahti Hai Nigahe,
Kya Baat Hai Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata,

Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein,
Jo Dur Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata,

Main Apni Hi Uljhi Hui Raho Ka Tamasha,
Jate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata,

Woh Naam Jo Barso Se, Na Chehra Na Badan Hai,
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata



Posted by Salman Khan




MOHABBAT SAY ,INAYAT SAY.....


Mohabbat say, iNayat say, Wafa say Chot Lagti hay..
Bikharta Phol hon, Mujhko Hawa say Chot Lagti hay..

Main Shabnam ki Zuban say, Phol ki Awaz sunta hon..
Ajab Ehsaas hay,Apni Sada say chot Lagti hay..

Tujhey Khud apni Majbori ka Andaza nahee Shayad..
Na kar Ehd-e-Wafa, Ehd-e-Wafa say Chot lagti hay..

Meri Ankhon main Aanso ki tarha ik Bar Aa Ja....
Takalluf say Banawat say, AdA say Chot Lagti hay..



Posted by Salman Khan




TALA'TUM KOI MERAY .......


Tala'tum koye Meray Andar ho jaysay..
Meri Aankh gham ka Samandar ho jayssay..

Teri Parsayee ka Khayal hay laikin..
Na aysay Mila kar, Qalandar ho jayssay..

Teray bad Ye Dil kuch aysay lagay ab...
Ke Sadeon sey Weeran Mandarr ho jaysay..

Mujhay Chand Raton mein lagta hay aysay..
Tarapta koye mairay Andar ho jayssay...

Teray loutnay ki Main Uon Muntazir hon ..
Mera Bakht, Bakht-e-Sikandar ho jayssay...



Posted by Salman Khan




HUMKO DUSHMAN KE NIGAHOUN.....


humko dushman ki nigahoun se na dekha kijeye ..
Piyaar hi Piyaar hain hum to,hum pe Bharoosa kijeye ...

Chund Yadoun ke Siwa, haath na kuch ayeega ....
istarah umr-e-gurezaan ka na peecha kijeye ..

Roshni auroun ke Aangun main gawara na sahi ..
kam se kam apnay hi Ghar main to ujala kejeye ..

kiya khaber kab woh chale aingey milne ki Khatir
Rouz Palkoun pe nai shammen jalaya Kejiye

'Piyaar ki reet hai, zakhmon ki numaish kam ho'..
dil ke aangun ko kuch istarah se sajaya kijeye

Saazishi - Zehn her gaam pe mila karain gay
Aisay mahoul se Khud ko bachaya kijeye

Ab to tanhaii bhi shiddat se Satanay Lagi 'S'
jab Bhi fursat ho, mere paas aa jaya kijeye



Posted by Salman Khan




BOHAT HE YAAD AATA HAI...


Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai

woh mera teri aankhon k samander main uttar jaana
aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana

teri awaaz k sehar se na nikal paana
tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana

bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
na teri yaad main reh k tere saath ka sochoon

bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai
k jin se thees utth ti hai k jin se dard hota hai

magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
terey hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai

tou tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna

tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai
woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai



Posted by Salman Khan




JO KHAYAL THEY NA QAYAS THEY......


Jo Khayal They Na Qayas They , Wohi Loogh Hum Sey Bichar Ghaye...
Meri Zindghi Ki Jo Aas They , WOhi Loogh Hum Sey Bichar Ghaye !

Jinain Maanta Hi Nahi Yeah Dil, WOhi Loogh Hain Meray Hum-Safar...
Mujhay Hoor Tara Sey Jo Raas They, Wohi Loogh Hum Sey Bichar Ghaye !

Mujhay Lamha Bhar Ki Rafaqatoon Key Azaab Oor Staaen Ghey...
Meri Umer Bhar Ki Jo Payaas They, Wohi Loogh Hum Sey Bichar Ghaye

Yeah Khayal Saray Hain Aaarzi , Yeah Ghulaab Saray Hain Qaghuzii..
Gul-e-Aarzoo Ki Jo Baas They ,Wohi Loogh Hum Sey Bichar Ghaye !

Jinhain ker Secka Na Qabool Main ,Woo Shareek Raah-e-Safar Howay...
Jo Meri Talab , Meri Aaas They ,Wohi Loogh Hum Sey Bichar Ghaye .

Yeah Jo Raat Din Meray Saath Hain ,wohi Ajnabi key Hain Ajnabi..
Woo Jo Dharkanoon Ki Asaas They , Wohi Loogh Hum Sey Bichar Ghaye !



Posted by Salman Khan




KABHI MUJH KO SAATH LAY KAR......


Kabhi mujh ko saath lay kar, kabhi meray saath chal kar
Vo badal gaya achaanak meri zindagi badal kar

Huye jis pe meharaba'n tum koi khush nasib hogaa
Meri hasratein to nikalein meray aa'nsuo'n mein dhal kar

Koi phuul ban gayaa hai, koi chaand, koi taaraa
Jo chiraagh bujh gaye hain teri anjuman mein jal kar

Meray dosto Khuda_raa meray saath tum bhi dhoondo
Vo yahein kahein chhupay hain meray gham ka rukh badal kar

Teri bay_jhijhak hansi say na kisi kaa dil ho mailaa
Ye nager hai aayino'n kaa yaha'n saa'ns lay sambhal kar



Posted by Salman Khan




SOCHTEY REHNAY KE AADAT....


Sochtey rehnay ki aadat hogayi
chaunktey rehnay ki aadat hogayi

hijr ki raatoun k sung aankhoun ko bhi
jaagtey rehnay ki aadat hogayi

jaaney kia dur hay k apnay aap say
bhaagtey rehnay ki aadat hogayi

woh nahin lautey gaa phir kiyoon rehguzaar
daikhtey rehnay ki aadat hogayi

woh meray andar chupa hay or usay
boltey rehnay ki aadat hogayi



Posted by Salman Khan


 

No comments:

Post a Comment