MERI ZINDAGI TO FIRAAQ HAY...
Meri zindagi tou firaaq hay.. woh azal say dil may makee..n sahi
Woh nigaah-e-shok say door hain.. rag-e-jaan say laakh Qaree..n sahi
Woh nigaah-e-shok say door hain.. rag-e-jaan say laakh Qaree..n sahi
hamain jaan daine hay aeek din... woh kisi tarah woh kaheen sahi
hamain aap khainchiye daar par... jo naheen kaheen to hameen sahi
hamain aap khainchiye daar par... jo naheen kaheen to hameen sahi
sar-e-toor ho.. sar-e-hashar ho... hamain intizaar kabool hay
woh kabhi milain.. woh kaheen milain.. woh kabhi sahi.. woh kaheen sahi
woh kabhi milain.. woh kaheen milain.. woh kabhi sahi.. woh kaheen sahi
Na ho in pay jo mera bas naheen.. kay yeh Aashiqi hay hiwas naheen
may in-he ka tha.. may in-he ka hoon.. who mery naheen to naheen sahi
may in-he ka tha.. may in-he ka hoon.. who mery naheen to naheen sahi
jo ho faisla woh sunaeyee.. isay hashar par na uthayee
jo karaingay aap sitam wahaan... woh abhi sahi.. woh yaheen sahi
jo karaingay aap sitam wahaan... woh abhi sahi.. woh yaheen sahi
Isay daikhnay ki jo lo lagi.. tou naseer daikh he laingay hum
woh hazaar aankh say door ho.. woh hazaar parda nasheen sahi
woh hazaar aankh say door ho.. woh hazaar parda nasheen sahi
Posted by Salman Khan
ASHAAR MERE YUUN TO.....
ashaar mere yuu.N to zamaane ke liye hai.n
kuchh sher faqat unako sunaane ke liye hai.n
ab ye bhii nahii.n Thiik ki har dard miTaa de.n
kuchh dard kaleje se lagaane ke liye hai.n
aa.Nkho.n me.n jo bhar loge to kaa.nTo.n se chubhe.nge
ye Khvaab to palako.n pe sajaane ke liye hai.n
dekhuu.N tere haatho.n ko to lagataa hai tere haath
ma.ndir me.n faqat diip jalaane ke liye hai.n
socho to ba.Dii chiiz hai tahaziib badan kii
varanaa to badan aag bujhaane ke liye hai.n
ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabe.n
ik shaKhs kii yaado.n ko bhulaane ke liye hai.n
Posted by Salman Khan
MOHSIN NAQVI.....
Ujray Howay Logon Say Guraizan Na Howa Kar
Halaat Ki Qabron Kay Katbay Bhi Parha Kar
Kia Janiye Kiun Taiz Hawa Soch Main Gum Hai
Khawabeeda Parindon Ko Darakhton Say Ura Kar
Khawabeeda Parindon Ko Darakhton Say Ura Kar
Us Sakhs Kay Tum Say Bhi Marasim Hain To Hon Gay
Woh Jhoot Na Bolay Ga Mairay Samnay Aa Kar
Woh Jhoot Na Bolay Ga Mairay Samnay Aa Kar
Ab Dastakain Day Ga Tu Kahan Kay Gham-E-Ahbaab
Main Nay To Kaha Tha Kay Mairay Dil Main Raha Kar
Main Nay To Kaha Tha Kay Mairay Dil Main Raha Kar
Har Waqt Ka Hansna Tujhay Barbaad Na Kar Day
Tanhai Kay Lamhon Main Kabhi Ro Bhi Liya Kar
Tanhai Kay Lamhon Main Kabhi Ro Bhi Liya Kar
Woh Aaj Bhi Sadiyon Ki Musafat Pay Khara Hai
Dhonda Tha Jisay Waqt Ki Dewaar Gira Kar
Dhonda Tha Jisay Waqt Ki Dewaar Gira Kar
Ay Dil Tujhay Dushman Ki Pehchan Kahan Hai
Tu Halqa-E-Yaaran Main Bhi Muhtaat Raha Kar
Tu Halqa-E-Yaaran Main Bhi Muhtaat Raha Kar
Main Mar Bhi Chuka, Mil Bhi Chuka Moj-E-Hawa Main
Ab Rait Kay Seenay Pay Maira Naam Likha Kar
Ab Rait Kay Seenay Pay Maira Naam Likha Kar
Pehla Sa Kahan Ab Mairi Raftaar Ka Alam
Ay Gardish-E-Doran Zara Tham Kay Chala Kar
Ay Gardish-E-Doran Zara Tham Kay Chala Kar
Ik Rooh Ki Faryaad Nay Chonka Diya Mujhay
Tu Ab To Mujhhay Jism Kay Zindan Say Riha Kar
Tu Ab To Mujhhay Jism Kay Zindan Say Riha Kar
Iss Shabb Kay Muqaddar Main Sehar Hi Nahi Mohsin
Daikha Hai Kai Baar Charaghon Ko Bujha Ka
Daikha Hai Kai Baar Charaghon Ko Bujha Ka
Posted by Salman Khan
US NAIN KAHA...MAIN NAY KAHA...
Us nain kaha keh ishq ka nasha uter gaya
main nain kaha keh husun bhee tum sey muker gaya
main nain kaha keh husun bhee tum sey muker gaya
us nain kaha keh tujh ko dilanni hain choriyan
main nain kaha keh ab woh zamana guzar gaya
main nain kaha keh ab woh zamana guzar gaya
us nain kaha keh kia houvee kajal kee dhaar see
main nain kaha keh ankh sey durya guzar gaya
main nain kaha keh ankh sey durya guzar gaya
us nain kaha keh yeah teree chiryoun sey dostee
main nain kaha keh dil mera duniya sey bhur gaya
main nain kaha keh dil mera duniya sey bhur gaya
us nain kaha keh kia mila sub sey bigaar key
main nain kaha keh waqt tu acha guzar gaya
main nain kaha keh waqt tu acha guzar gaya
us nain kaha keh khawab main aanain ka waqt do
main nain kaha keh neend ka mausam guzar gaya
main nain kaha keh neend ka mausam guzar gaya
us nain kaha keh woh teray soorujh ka kia bunna
main nain kaha keh woh meray dil main uter gaya
main nain kaha keh woh meray dil main uter gaya
us nain kaha keh woh nahein dey ga tumhara saath
main nain kaha keh woh chaloo waida tu ker gaya
main nain kaha keh woh chaloo waida tu ker gaya
akhir ko tung aa key kahee us nain itnee baat
woh tum kahan gaein woh zamana kidher gaya
woh tum kahan gaein woh zamana kidher gaya
Posted by Salman Khan
APNEY MARKAZZ SAY AGAR....
Apney Markazz say AgaR NikaL jaoo gay,,....
Khu'aab Ho jao gay, AfSaNoun main Dhal Jao gay...
Ab to Khad-o-Khal bhi nahe Rahay Pehlay Jaysay..
Kia Pata tha Tum ittnaaay Badal Jao Gay.....
Kia Pata tha Tum ittnaaay Badal Jao Gay.....
Apni Matti par hi Chalnay ka Qareena Seekhoo.!!!!..
Sang-e-Marmar par Chalou Gay,,,to Phisal Jao Gay...
Sang-e-Marmar par Chalou Gay,,,to Phisal Jao Gay...
Our Apney Parcham Key Rang ko Bhula mat Dainaa...
Surkh ShoLon say jo Khailo gay ,to Jal Jao Gayy...
Surkh ShoLon say jo Khailo gay ,to Jal Jao Gayy...
Mujhay to Matloub hay sobh-e-Sadik,Kis say Mangon?//
Tum to Bholay ho,,,Charaghon say bhi Behel Jaao Gay...
Tum to Bholay ho,,,Charaghon say bhi Behel Jaao Gay...
Posted by Salman Khan
HUM ZAAT KE AURAAQ PE.......
Hum zaat ke auraq pe bikhri hui shab hain
Me'yaar aleh'da hein, par insan to sab hain
Me'yaar aleh'da hein, par insan to sab hain
Aasaib'zada hai tere honton ki halaawat
Afsurda-e-khatir tere lehje ke sabab hain
Afsurda-e-khatir tere lehje ke sabab hain
Daulat ke taraazu main bhi Imaan likha hai
Hum sahib-e-kirdar hain, parwarda-e-RAB hain
Hum sahib-e-kirdar hain, parwarda-e-RAB hain
De'roz ke chehre ki ibaadat bhi zara paRh
Maimaar hain a'inda ke, qaatil tere kab hain
Maimaar hain a'inda ke, qaatil tere kab hain
Hum donon mohabbat ke siwa jante the kya
Aise to na the dost! ke jis haal main ab hain
Aise to na the dost! ke jis haal main ab hain
Wo husan ka paikar hai, ke a'saab ka qaatil
Aankhein kisi aahu ki hain, yaqoot se lab hain
Aankhein kisi aahu ki hain, yaqoot se lab hain
Jismon ke zakheere ka sumandar hai, magar hum
Ik chashm-e-sitam pesha se Ikhlaas talab hain
Ik chashm-e-sitam pesha se Ikhlaas talab hain
Posted by Salman Khan
No comments:
Post a Comment