-----/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\-----
Mai aaina hoo'n wo mera khayal rakhti hai
Mai tut ta hoo'n to chunn kar sambhal rakhti hai
Mai tut ta hoo'n to chunn kar sambhal rakhti hai
Har aik shai ka wo hall bhi nikaal rakhti hai
Zaheen hai mujhey hairat mai daal rakhti hai
Zaheen hai mujhey hairat mai daal rakhti hai
Mai jab bhi tarq e taalluq ki baat karta hoo'n
Wo rokti hai mujhey, kal pe taal rakhti hai
Wo rokti hai mujhey, kal pe taal rakhti hai
Wo mere dard ko chunti hai apne pouro'n se
Wo merey wastey khud ko nidhal rakhti hai
Wo merey wastey khud ko nidhal rakhti hai
Wo dubney nahi deti hai dukh k darya mai
Merey wujud ki na'o utchal rakhti hai
Merey wujud ki na'o utchal rakhti hai
Dua'ain uski balao'n ko rok leti hain
Wo merey char soo aisa hisaar rakhti hai
Wo merey char soo aisa hisaar rakhti hai
Ik aisi dhunn k nahee maine fir kabhi bhi suni
Wo munfarid sa hasee'n mai kamal rakhti hai
Wo munfarid sa hasee'n mai kamal rakhti hai
Usey nidamatain meri kaha'n gawara hai'n
Wo merey wastey aasa'n sawal rakhti hai
Wo merey wastey aasa'n sawal rakhti hai
-----/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\-----
jaane kyun wo saanso ki dor tootne nahi deta
bas do kadam aur chalne ka waasta dekar mujhe rukne nahi deta
bas do kadam aur chalne ka waasta dekar mujhe rukne nahi deta
baat kehta hai wo mujhse hans hans kar jee lene ki
ajeeb shakhs hai mujhko chain se rone nahi deta
ajeeb shakhs hai mujhko chain se rone nahi deta
aaj hausla deta hai mujhe chaand sitaro ko chhu lene ka
wo pyara sa chehra mujhe tootkar bikharne nahi deta
wo pyara sa chehra mujhe tootkar bikharne nahi deta
shayad jaanta hai wo bhi in aankhon men aansuo ka sailaab hai
jaane kyun fir bhi wo in aansuo ko girne nahi deta
jaane kyun fir bhi wo in aansuo ko girne nahi deta
mujhse kehta hai, “main to mar jaunga tumhare bina“
main zinda hun ab tak ke wo mujhe merne nahi deta..
main zinda hun ab tak ke wo mujhe merne nahi deta..
-----/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\-----
Wo Kehti Hay...... Batao Be Sabab Kion Rooth Jatay Ho?
Main Kehta Hoon... Zara Mujh Ko Manaao...... .Acha Lagtaa Hay
Wo Kehti Hay Mera Dil Tum Se Aakhir Kion Nahi Bhartaa?
Main Kehta Hoon.... Mohabat Ki Koi Hadd Hi Nahii Hotii....!
Main Kehta Hoon.... Mohabat Ki Koi Hadd Hi Nahii Hotii....!
Wo Kehti Hay.... Batao...Main Tumhain Kion Bhaa Gayi Itna?
Main Kehta Hoon... Merii jaan Hadsay To Ho Hii Jatay Hain!
Main Kehta Hoon... Merii jaan Hadsay To Ho Hii Jatay Hain!
Wo Kehti Hay... Achanak Main Tumhain Yoon Hii Rulaa Doon Tu?
Main Kehta Hoon... Mujhay Darr Hay K Tu Bhii Bheeg jaaye Gi...!
Main Kehta Hoon... Mujhay Darr Hay K Tu Bhii Bheeg jaaye Gi...!
Wo Kehti Hay... Batao..Baarishon Ki kiya Haqeeqat Hay?
Main Kehta Hoon... K Yeh To Baadalon Ki Aankh Rotii Hay...!
Main Kehta Hoon... K Yeh To Baadalon Ki Aankh Rotii Hay...!
Wo Kehti Hay... Tumhaaray Khwaab Saaray Kion Adhooray Hain?
Main Kehta Hoon... Merii Jaan Tum Inhain Takmeel De Do Na...!
Main Kehta Hoon... Merii Jaan Tum Inhain Takmeel De Do Na...!
-----/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\-----
Sukoon bhi kum hua, neend bhi hay kum kum phir
Qareeb anay laga dooriyoon ka mousum phir
Bana rahi hay teri yaad mujh ko silk-e-guher
Piro gae hay meri palkoon mein ajj shubnum phir
Piro gae hay meri palkoon mein ajj shubnum phir
Wo naram lehjay mein kuch keh raha hay phir mujh say
Chi'ra hay payar k komal surroon mein mud'dham phir
Chi'ra hay payar k komal surroon mein mud'dham phir
Tujhay manaoon k apni anna ki baat sunoon
Ulajh raha hay meray faisaloon ka raishan phir
Ulajh raha hay meray faisaloon ka raishan phir
Na us ki baat mein sumjhoon na wo meri nuzrein
Mu'aamlaat-e-zabaan ho chalein hein mubhum phir
Mu'aamlaat-e-zabaan ho chalein hein mubhum phir
Yeh aanay wala na dukh bhi us k sir hi gaya
Cheekh gaya meri angishtari ka neelum phir
Cheekh gaya meri angishtari ka neelum phir
Wo eik lumha k jub saray rung eik hue
Kisi bahaar nay dekha na aisa sungum phir
Kisi bahaar nay dekha na aisa sungum phir
Bohot aziz hein aankhein meri usay, laikin
Wo jaatay jaatay inhein ker gaya hay pur num phir
Wo jaatay jaatay inhein ker gaya hay pur num phir
-----/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\-----
shumA ki lau thi kay wo tu tha magr hijr ki raat
dair tuk rotA raha koi sirhanay meray
dair tuk rotA raha koi sirhanay meray
khalq ki beKhabaree hai keH meree ruswa'ee looq
mujh ko hi sunatay hein fusanay meray
mujh ko hi sunatay hein fusanay meray
lut keh bhi khush hooN keh ashkooN se bhara hai daaman
dekh gharat gare dil yeh bhi khazane meray
dekh gharat gare dil yeh bhi khazane meray
Aaj ik aur burS beeth gya oos kay beghair
jis kay hotay hooay hotay thay zamanay meray
jis kay hotay hooay hotay thay zamanay meray
kaash tu bhi meri awaaz sunta ho phir
pukara hai tujhe dil ki saada ne meray
pukara hai tujhe dil ki saada ne meray
kaash tu bhi kabhi aajaye masiha'ee ko
loog aate hein bohat dil ko dukhane meray
loog aate hein bohat dil ko dukhane meray
kaashi aurooN ki turhaaN mein bhi keH sukta
baat soon li hai meri, aaj khuda ne meray
baat soon li hai meri, aaj khuda ne meray
to hai kis haal mein aih zood-faramosh mere
mujh ko tu cheen lya aihed-e wafa ne meray
mujh ko tu cheen lya aihed-e wafa ne meray
chara-gr yooN tu bohut heiN magr aeh jaan-e-faraz
juz teray aur koi zakham na janay meray
juz teray aur koi zakham na janay meray
-----/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\-----
KASH WO KEHTA TUMHARI MUSKURAHAT
JO KAHEIN KHO GAI HAI
TUMHARI SHOKHI JO KAHEIN SO GAI HAI
TUMHARI TAZGI JO KAHEIN REH GAI HAI
TUMHARI ZINDA DILLI JO KAHEIN BEH GAI HAI
MEIN LOTANAY AYA HON
TERAY HUSN MEIN JO JAMAL THA
WO JO TUJH MEIN EK KAMAL THA
TERI ZAAT MEIN JO KHUMAR THA
WO JO TUJH MEIN NAZ E BAHAR THA
MEIN LOTANAY AYA HON
WO JO TUJH MEIN EK KAMAL THA
TERI ZAAT MEIN JO KHUMAR THA
WO JO TUJH MEIN NAZ E BAHAR THA
MEIN LOTANAY AYA HON
TERI PYARI HASI MASOOM KHUSHI
WO JAN E CHAMAN WO NAZ E KALI
TERI METHI SADA WO GARM HAWA
WO PAGLI PAWAN WO ZOR E AGAN
MEIN LOTANAY AYA HON
WO JAN E CHAMAN WO NAZ E KALI
TERI METHI SADA WO GARM HAWA
WO PAGLI PAWAN WO ZOR E AGAN
MEIN LOTANAY AYA HON
YUN NA ASHK BAHA
AB LOAT BHI AA
MUJHAY NA AUR TARPA
LOAT BHI AA
PYAR MUJH PAY BARSA
LOAT BHI AA DIL KO
AB SAMJHA TU LOAT BHI AA
MEIN LOTANAY AYA HON
AB LOAT BHI AA
MUJHAY NA AUR TARPA
LOAT BHI AA
PYAR MUJH PAY BARSA
LOAT BHI AA DIL KO
AB SAMJHA TU LOAT BHI AA
MEIN LOTANAY AYA HON
MAGER WO TU JANTA NHI
YA PHIR MANTA NHI
KOI INTEZAR MEIN HAI
KOI IZTERAB MEIN HAI
MEIN JO LOATNAY KO HON TAYYAR
PAR TUM BHI TU KAHO SIRF EK BAR
MEIN LOTANAY AYA HON
YA PHIR MANTA NHI
KOI INTEZAR MEIN HAI
KOI IZTERAB MEIN HAI
MEIN JO LOATNAY KO HON TAYYAR
PAR TUM BHI TU KAHO SIRF EK BAR
MEIN LOTANAY AYA HON
-----/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\-----
aks kushboo hon,bikharnay say na rokay koi,
aur bikhar jaon tu mujh ko na samaytay koi,
kaamp uthti hon main yeh soch kay tanhai main,
meray chehray peh tera naam na parh lay koi,
meray chehray peh tera naam na parh lay koi,
jis tarha khawab meray ho gay raiza raiza,
is tarha say na khabie toot kay bikhray koi,
is tarha say na khabie toot kay bikhray koi,
main tu us din say harasaan hon kay jab hukam milay,
kush phoolon ko kitabon main na rakhay koi,
kush phoolon ko kitabon main na rakhay koi,
ab tu is rah say wo shakas guzarta bhi nahin,
ab kis ummed peh darwazay say jhankay koi,
ab kis ummed peh darwazay say jhankay koi,
koi ahaat,koi awaz.koi chaap nahin,
dil ki galiyaan bari udaas hain,aayeh koi
dil ki galiyaan bari udaas hain,aayeh koi
-----/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\----------/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\/////\\\\\-----
No comments:
Post a Comment