Choone Se Bikhar Jaaoonga
Itna Toota Hoon Ke Choone Se Bikhar Jaaoonga
Ab Agar Aur Duaa Doge To Mar Jaaoonga
Lekar Mera Pataa Waqt Raayaga Na Karo
Main To Banjaara Hoon Kya Jaane Kidhar Jaaoonga
Is Taraf Dhoond Hai Jugnu, Na Charaag Koi
Kaun Pehchaanega Basti Mein Agar Jaaoonga
Zindagi,. Main Bhi Musafir Hoon, Teri Kashti Ka
Tu Jahaan Mujhse Khaegi Main Utar Jaaoonga
Jahaan Reh Jaayenge Gulaadon Mein Yaadon Ki Nazar
Main To Khushboo Hoon Fizaaon Mein Bikhar Jaaoonga
Posted by salman khan
Choone Se Bikhar Jaaoonga
Itna Toota Hoon Ke Choone Se Bikhar Jaaoonga
Ab Agar Aur Duaa Doge To Mar Jaaoonga
Lekar Mera Pataa Waqt Raayaga Na Karo
Main To Banjaara Hoon Kya Jaane Kidhar Jaaoonga
Is Taraf Dhoond Hai Jugnu, Na Charaag Koi
Kaun Pehchaanega Basti Mein Agar Jaaoonga
Zindagi,. Main Bhi Musafir Hoon, Teri Kashti Ka
Tu Jahaan Mujhse Khaegi Main Utar Jaaoonga
Jahaan Reh Jaayenge Gulaadon Mein Yaadon Ki Nazar
Main To Khushboo Hoon Fizaaon Mein Bikhar Jaaoonga
Posted by salman khan
Teri yad mujhy sony nahi deti
Lipat kar apni tanhai se jagta rehta hun main
tamaam rat teri yad mujhy sony nahi deti
teri koi masoom si shararat jab bhi ati hai yaad
udaas to kar jati magar roony nahi deti
log kehty hain bhool kr usy nai zindgi shuru kr
wo rooh par qabiz hai mujhy kisi aur ka hony nahi deti
Posted by salman khan
Ab Mohabat nahi hoti Mujh ko
Ab tujhy dekhun to mohabat nahi hoti mujhko
zakham khulty hain to aziyat nahi hoti mujh ko
itna badla hun tery sheher ka pani pi kar
jhoot bolun to ndamat nahi hoti mujh ko
ab koi aae chala jae main khush rehta hun
ab kisi shakhs ki adat nahi hoti mujh ko
itna masroof hun jiny ki hawas main Shahid
sans leny ki bhi fursat nai hoti mujh ko
Posted by salman khan
Buss ik jeenay ki khwahish thi aur wo bhi
Jahan jahan bersaat uterti daikhi hai
Her sou teri yaad bikherti daikhi hai
Tum se pehlay dil sa buzdil koi na tha
Aur phir iss dil se dunya derti dekhi hai
Dil ke gehray sannatay main raaton ko
Kabhi kabhi ik hook ubherti dekhi hai
Buss ik jeenay ki khwahish thi aur wo bhi
Hum ne apni aankhon merti dekhi hai
Posted by salman khan
Main sun rahi hon phir se judayi ki aahtain
Ghaira hay is tarah mujhe wehshat k jaal ne
Sab khwab mere doob gaye is malaal mein
Mujh se nazer chura k guzerne lagi hawa
Ane lagi ju hijer ki khushbo wisaal mein
Hon sa’at e azaab mein kyoun main abhi talak?
Ik umer se ghiri hon isi ik sawaal mein
Bechainiaan tamam hi main us ki oorh lon
Shamil mujhe kare tou kabhi apne haal mein
Main sun rahi hon phir se judayi ki aahtain
Jeena pare na phir se unhi maah o saal mein
Qismat se raah mein ju jazeere humain mile
Tere guman mein the,na mere khayal mein
Posted by salman khan
Bhool Jana Bhi Usay Yaad bhi Kartay Rehna
Bhool Jana Bhi Usay Yaad bhi Kartay Rehna,
Acha Lagta Hai Isi Dhun Mein Bikhartay Rehna,
hijar walon Se Bari Dair Se Sikha Humne,
Zinda Rehnay K Liye Jan Se Guzartay Rehna,
Kya Kahun Q Mere Neendon Me Khalal Dalta Hai,
Chand K Aks Ka Pani Mein Utartay Rehna,
Main Agar Toot Bhi Jaon Toh Phir Aaina hoon,
Tum Mere Baad Bhi har Roz Sanwartay Rehna,
Shaam Ko Doobtay Suraj Ki Hai Aadat,
Subha Hotay Hi Mere Sath Ubhartay Rehna…….!!!
Posted by salman khan
Meri saadgi mera juram hai
Yahan chahton ka sila Nahi,
Yaha Dosti ka Maza Nahi.
Yaha Janay Kaisy Hawa Chali,
“RAHI” Doston Main Wafa Nahi.
Yaha Jal Gaya Mera Aashian,
Abhi Badalon ko Pata Nahi.
Teray Dar Pe Dastak Dei Sakon,
Ye Haq Tum ne Mujey Dia Nahi.
Main “RAHI” Hoon Rahi-e-Umeed ka,
Mujey Manzilon ka Pata Nahi.
Bey Bus Hoon Jahan Main Itna,
Jaisey Mera koi “KHUDA” Nahi.
meri saadgi mera juram hai,
koi aur meri khata nahi…
Posted by salman khan
Hum ne roote hoye chehroon se mohabbat ki hai
tum ko marghoob thay hanste hoye chehre lakin
hum ne roote hoye chehroon se mohabbat ki hai
chand sikoon ke ivaz cheen li ghairat meri
kitni kam is ne muqqarar meri keemat ki hai …!!
kon tha jis ne bhujaye mere ghar ke cheeragh
janay kis ne yeh siyahi meri qismat ki hai
ab woh tardeed pe tardeed kiye jata hai
main ne tou baat ki thori si wazahat ki hai
ghar main dar aya hai dushman tou shikayat kaise
ham ne khud us ko faraham ye sahoolat ki hai
shairy kia thi faqt shair ke pairahe main
hum ne aik ahad ki tareekh ibarat ki hai .
Posted by salman khan
Jise bhulaye kayi saal ho gaye
Main hosh mein tha tou phir Uss pe mar gaya kaise
Yeh zehar mere lahoo mein utter gaya kaise
Kuch Uss k dil mein lagawat zaroor thi warna
Woh mera haath daba ker guzar gaya kaise
Zaroor Uss ki tawajo ki rehbari ho gi
Nashe mein tha tou main apne hi ghar gaya kaise
Jise bhulaye kayi saal ho gaye Kamil
Main aaj Uss ki Gali se guzar gaya kaise
Posted by salman khan
Talash kar
Meri taqdeer se poochh meri Qismat ka faisla,
Meri muskrahat pe na ja mera dard talash ker,
Aankhon se pooch mere intizar ki had,
Imtehan pe na ja mera sabar talash ker,
Mere doston se pooch meri dosti ka aalam,
Soorat pe na ja meri seerat talash ker,
Jo mill jaye tujh ko meri baaton ka jawab,
To phir tou mujhai khud mein talash ker…….
Posted by salman khan
Meri zindgi se pehly
humain koi Gham nahin tha Gham-e-ashiqi se pehle
na thii dushmanii kisii se terii dostii se pehle
hai ye merii badnaseebii teraa kyaa qasoor iss mein
tere Gham ne maar Daalaa mujhe zindagii se pehle
meraa pyaar jal rahaa hai aye chaand aaj chhup jaa
kabhii pyaar thaa hamein bhii terii chaandni se pehle
main kabhii na muskuraataa jo mujhe ye ilam hotaa
ke hazaaron Gham milenge mujhe ik Khushii se pehle
ye ajeeb imtehaan hai ke tumhii ko bhoolnaa hai
mile kab they iss tarah ham tumhein bedilii se pehle
Posted by salman khan
Aankh bhAr i hai.
Bin Us K Zindagi Dard-e-Tanhai Hai,
Meri Aankhon Mai Q Mout Simat i Hai,
Kehtay Hain Log Ishq Ko Ibadat Yaro,…
Ibadat Mai Phr Q Itni Ruswai Hai,…
Mahfil mai reh kar b Tanha rehna,
Ye ada uski mohabbat nay sekhai hai,
Us sy taluq hai kuch aisa dil ka,
Jb b sochA usko Aankh bhAr i hai.
Posted by salman khan
Phir Is Duniyaa Se Ummiid-E-Vafaa Hai
Phir Is Duniyaa Se Ummiid-E-Vafaa Hai
Tujhe Ai Zindagii Kyaa Ho Gayaa Hai
Badii Zaalim Nihaayat Bevafaa Hai
Ye Duniyaa Phir Bhii Kitanii Khush-Numaa Hai
Har Ik Apane Hii Gam Mein Mubtilaa Hai
Kisii Ke Dard Se Kaun Aashnaa Hai
Mere Naqqaad Merii Shaayarii To
Mere Tuute Huye Dil Kii Sadaa Hai
Kahaan Huun ?Shad? Main To Shaad Saa Huun
Vo Shaad-E-Khush-Navaa To Mar Chukaa Hai
Posted by salman khan
Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe
Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou
Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe
Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe
Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay
Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe?!!!
Posted by salman khan
Shaam hony do…
Abhi soraj nahin dooba zara si sham hony do
main khud hi loat jaun ga mujhy nakam hony do
mujhy bdnam karny k bahany dhundty ho q?
main khud ho jaun ga bdnam pely nam hony do
abi karna nahin aetraf-e-shikast mujhko
main sab tasleem karlun ga ye charcha aam hony do
meri hasti nahin anmool phir b bik nahin sakta
wafaen bech lena par zara nilaam hony do
naye aghaz main hi hosla q haar baithy ho?
jeet jao ge tm sab kch zara anjaam hony do
Posted by salman khan
Jo Zakham tu ne Diye
jo zakhm tu nay diye thay woh bhertay jatay hain
charhay hoay thay jo dariya utartay jatay hain
yeh ahel_e_shahr_e_wafa hain ajab bahar parust
sarooo kay phool faseelo’n pay dhertay jatay hain
nahi hai aur tu kuch bhi hamaray hatoo’n main
siva_ye_arz_e_tamman na so kertay jata hain
ajeeb loog hain , yeh ahel_e_intezaar kay jo
khud apni aag main jul kar sa’nwertay jatay hain
najanay kaun si basti kay hain yeh bashindey!
nazar uthatey nahi aur guzertay jatay hain
yeh aaj shaher pay utri hay kis bala ki raat
charaagh apni lawoo’n say mukertay jatay hain
darakht shaam ko lagtay hain shaher say nawab
kay shaakh shaakh parinday utartay jatay hain.
Posted by salman khan
No comments:
Post a Comment