SALMAN KHAN

Saturday, April 30, 2011

~~~MIXED~~~

MUJY TUM SY ISHQ,,,,


us adaa se bhi hoon main aashna.
tujhy itna jis pe ghuroor hay.

main jiun ga tere bagher bhi,
mujhy zindagi ka sha'oor hay.

na hawas mujh main janab ki .
na talab saba-o-shabab ki.

tere chashm-e-naaz ki kher ho.
mujhy bin piye hi suroor hay.

jo samjh le tujhy be wafa.
to is main meri kya khata.

ye khyal hay mere dimagh ka .
ye meri nazar ka qasoor hay.

main nikal ke bhi tere naam se.
na giroonga apny maqam se.

main qatil-e-sitam sahi.
mujhy tum se ishq zaroor hay


????????????


Hr rat us sy milny ki aadat si ho gai
phr rfta rfta os sy muhabat si ho gai

shayed ye taza taza judai ka tha aser
hr shakal yak baek tari sorat si ho gai

ik nam jhilmilany lga dil k tak pr
ik yad jesey baesy rahat si ho gai

khud ko sja snwar k rkhny ka shok tha
Phir apny aap sy mujhy wahshat  si ho gai


TERE HAATH ALAG MERE HAATH ALAG...


Na chahat k jazbaat alag,
Na khushiyon k lamhaat alag,

Na phool se thi mehk alag,
Na guzri koi bahaar alag,

Na honton ki muskaan alag,
Na dil k ehd-o-paiman alag,

Na deen alag,
Na emaan alag,

Na sur, sangeet, naghmaat alag,
Thi sari baat lakeeron ki,

Tere hath alag…
Mere hath alag…!


ACHA LAGTA HAI,,


Us ke bena ab chup chup rehna acha lagta hai;
Khamoshi sey dard ko sehna acha lagta hai;

Jis hasti ki yad mein Aanso barstey hain;
Samne us ke kuch na kehna acha lagta hai;

Mil ker us se Bichar na jaon darta rehta hon;
Is liyay bas door hi rehna acha lagta hai;

Janta hon k chahat mein bs anso milte hain;
Kuch bhi ho ab is zehar ko pena acha lagta hai;

Je chahey sb khushia lay kar us ko de don;
us ke pyar mein sb kuch khona acha lagta hai..


TAQRAAR,,,,


main ne kha pyaar hai tum se
usne kha acha kab se?

main ne kha dil hai tumhra
usne kha ye na kaho qasm se

main ne kha dil main tumhre kaon hai?
usne kha khali hai janam se

main ne kha pyaar mujhe karona tum
usne kha ye hoga nahi ham se

main kha sangdil bhut ho
usne kha haan hon bachpan se

main ne kha kuch tu rahem karo
usne kha dekongi shyad kal se

main ne kha pather dil hai tumhra
usne kha majboor hai aadat se

Aah ye kaisi uljhan hai?????

mera sanam hi mera dushman hai
usne kha chorda lo jaan es jhnjht se

main ne kha kaya pagal ho gai tum
usne kha hona hai baqi tum se

main ne kha ek baar bas gale tu laga lo
us ne kha sorry ye hota nahi ham se . . .


TUJHY KIA MALOOM,,


Dastars me nahi haalaat TUJHY KIA MALOM,
Ab zarori hai mulaqaat TUJHY KIA MALOM,

Raat k pichly pehar nend shikan tanhai,
Kaisy karti hai sawalat TUJHY KIA MALOM,

To bazid hai k sir-e-aam parastish ho teri,
Me hon paband-e-riwayat TUJHY KIA MALOM,

Silsilawar dehakty hain subho hony taq,
Ye pareshan se mery jazbaat TUJHY KIA MALOM,

Chali aati hai teri yaad ankhon me anso ban kar,
Aksar roty hain sari raat TUJHY KIA MALOM,

Tujhy pany ki talab ne tery pyar ki khatir,
Kehty hain pagal mery yar TUJHY KIA MALOM,

Hum yonhi aksar bithy hoy tanhai me,
Ly lyty hain tera naam TUJHY KIA MALOM…


TUJHY ISHQ HO KHUDA KARAY,,


taweel raatoon ma tu bhi qaraar ko tarsa karay,
teri nighaah kisi ghum gusaar ko tarsa karay,,,,

tUjhay IShQ ho0 KHUDA KAray
kOi tUjh kO uS Say JuDa Karay

TEray hOnt haSna Bho0l JayEen
Teri AnKh Po0rnaam Raha KAray.

tU Uski Baatain Kiya Karay
tU Uski Batain SUna KAray

Usay dekh Kay tU Rukh PAray
wOh Nazar JhuKa Kay CHala KAray

tUjhay Hijir Ki wOh Jhari LAgay
Tu Milnay Ki Har PaL dua KAray

Teray Khwuab bikrain to0t KAr
Tu Kirchi KirChi CHunna KAray

Tu naGar nagar phira KAray
Tu GAli Gali saDaa KAray

tUjhay IshQ ho0 Phir yaQEen ho0
Usay TAsBiHo0n Main Phara KAray


MAIN MOHABBAT HOON,,


Main saahil pe likhi huyi ibaarat nahi....
Jo lehroun se mit jaati hai...
Main baarish ki barasti boond nahi...
Jo baras ker tham jaati hai....
Main khwaab nahi...
Jise dekha aur bhula diya...
Main shama nahi...
Jise phoonka aur bujha diya...
Main hawa ka jhonka nahi....
Jo aaya aur guzar gaya....
Main chand bhi nahi...
Jo raat ke baad dhal jaye...
Main to woh ehsaas hoon...
Jo tujh main lahoo ban ker gardish kare...
Main to woh rang hoon...
Jo tere dil pe chadhe to kabhi na mite...
Main woh geet hoon...
Jo tere laboun se juda na hoga...
Khwab, ibaarat, hawa ki tarah...
Chand, boond, shama ki tarah...
Mere mitne ka sawaal nahi...
Kyunki MÄÏN TÖ MÖHÄßßÄT HÖÖN...!!!


MUJHY JEENY KE UMMEED,,


Mujhy jeenay ki umeed dobara day do,
Meri doobti kashti ko kinara dy do,

Main dard k sahil pay tanha khara hun,
Phir aa k apni baahon ka sahara day do,

Tera daaman to bhara hay sitaron say,
Mujhy sadqay may ik sitara day do,

Mery aangan my aj andhera ha bohat,
Meri dehleez ko phir apna nazara dy do,

Chund lamhy tujhy dekhnay ki hasrat hay bas,
My nay kab kaha waqt apna mujhy sara day do



No comments:

Post a Comment