SALMAN KHAN

Friday, April 29, 2011

~~~ ( ISHQ POETRY ) ~~~

aik shakhs


Labon pay harf na hi koi sawal rakhta tha
Kabhi main zabt main itna kamal rakhta tha

Khaber kahan thi mujhy wo bhool jaye ga
Aik aik cheez jo meri sambhal rakhta tha

Bichartay waqt bazahir to kuch na bola tha
Mager nigah main so so sawal rakhta tha

Woh muskura kay bohat dair chup sa raha
Hansi ki aar main jaise malal rakhta tha

Suna hai ab log usay bohat satatay hain
Jis aik shakhs ka main bohat khayal rakhta tha


woh wafaon jaisa hai


saaari dunya hai meray wastay dozakh ki tarah,
haan magar shakhs woh meri panahoon jaisa hai,

uski baaton se zindagi ka guma hota hai,
bewafa hai sabhi per woh wafaon jaisa hai,

uska mann saaf hai jaisay koi ujlah suraj,
itna pakeeza k meri duaon jaisa hai ..


Kaisa hai woh


Khirrkiyan kis tarha ki hain, aur dar kaisa hai wo
Sochta hun jis mein wo rehta hai, ghar kaisa hai wo

Kaisi wo aab_o_hawa hai jis mein wo leta hai saans
Aata jata hai wo jis per, rah_guzer kaisa hai wo

Kaun see rangat k hain us k zameen_o_aasman
Chaon hai jis ki yahan tak, shajar kaisa hai wo

Main to us k ek ek lamhay ka rakhta hun shumaar
Aur meray haal_e_dil say kaisa bekhabar hai wo

Us ka hona he bohat hai, wo kahin hai to sahe
Kaya sarokaar us say hai mujh ko, kaisa hai wo….


kabi jo hum nahi hon gay


kabi jo hum nahi hon gay…
kaha kis ko batao gay…
wo apni uljanein sari..
wo becheini main doobe pal….
wo aankhon main chupe aansu…
kise phir tum dikhao gay…
kabi jo hum nahi hon gay…
boht bechan hon gay…
boht tanha reh jao gay…
abi b tum nahi samjhay…
humari ankahi batain…
mgr jab yaad aayein gay…
boht tum ko rulayein gay…
boht chaho gay phir b…
hamay na doond pao gay…!!



Muhabbat ki wakalat nai ki ja sakti


Ab muhabbat ki wakalat nai ki ja sakti
shehr bhr sy to adawat nai ki ja sakti

mera chehra meri ankhien hain salamat ab b
kon kehta hai wazahat nai ki ja sakti

baat ye hai k koi toot k chahey to sahi
hr kisi sy to muhabbat nai ki ja sakti

aankh kehti hai kahin or chaley jayen hm..
dil ye kehta hai k hijrat nai ki ja sakti

loh-e-dil pr yehi tehreer likhi hai ......
ishq walon ko naseehat nhi ki ja sakti.


Ek Tumharey Jaisa

Aisa Karna Key Chand Sey Kuch Mitti Lana
Us Main Sey Do Putley Banana
Ek Tumharey Jaisa
Ek Merey Jaisa
Un Potloon Ko Phir Tum Toor Deyna
Un Sey Phir Tum Do Putley Banana
Ek Tumharey Jaisa
Ek Merey Jaisa
Ta K
Kuch Kuch Tum Main Hum Reh Jayen
Kuch Kuch Hum Main Tum Reh Jana


Zindagii Ko Bech Diyaa


Azmat-E-Zindagii Ko Bech Diyaa
Ham Ne Apanii Khushii Ko Bech Diyaa

Chashm-E-Saaqii Ke Ik Ishaare Pe
Umr Kii Tishnagi Ko Bech Diyaa

Rind Jaam-O-Subuu Pe Hansate Hain
Shaikh Ne Bandagii Ko Bech Diyaa

Rah Guzaaron Pe Lut Gaii Raadhaa
Shaam Ne Bansurii Ko Bech Diyaa

Jagamagaate Hain Vahashaton Ke Dayaar
Aql Ne Aadamii Ko Bech Diyaa

Lab-O-Rukhsaar Ke Ivaz Ham Ne
Sitvat-E-Khusravii Ko Bech Diyaa

Ishq Beharuupiyaa Hai Ai ?Sagar?
Aap Ne Saadagii Ko Bech Diyaa


kuch door hamaray sath chalo.


kuch door hamaray sath chalo.
ham dil ki kahani keh dain gay.

samjhay naan jisay tum ankhon say.
wo baat zubani kah dain gay.

phoolon say jab honton par.
ik shokh tabasun bikhray ga.

dheeray say tumharay kaanon main .
ik baat purani kah dain gay.

izhar e wafa tum kia jano.
iqrar e wafa tum kia jano.

ham zikar karain gay ghairon ka.
or apni kahani keh dain gay.


Mohabbat ho to aesi ho


Asar dil per karay shikwa,
shikayat ho to aisi ho.!

Galay lag kar koi roye,
Nadamat ho to aisi ho.!

yehi mehsus ho jaisay
kai sadiyan guzari hain

faqat ek pal ki furqat mein,
Aziat ho to aisi ho..!!

mujhe kanta chubhay aur
us ki ankhon se lahu tapke,

talluq ho to aisa ho,
MUHABAT ho to aisi ho


Yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise


yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise


log yuun dekh kar hans dete hain
tuu mujhe bhool gayaa ho jaise


ishq ko shirk kii hadh tak na badhaa
yuun na mil hamse Khudaa ho jaise


maut bhii aaii to iss naaz ke saath
mujh pe ehasaan kiyaa ho jaise


aise anjaan bane baithe ho
tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise


hichkiyaan raat ko aatii hii rahiin
tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise


zindagii beet rahii hai “daanish”
ek bejurm sazaa ho jaise






 

1 comment:

  1. Visit This Poetry Website
    http://famousurdupoetry.blogspot.com

    ReplyDelete