SALMAN KHAN

Friday, April 29, 2011

~~~( INTEZAR POETRY )~~~

Ye dil mera jo bohat beqaraar rehta hai

Ye dil mera jo bohat beqaraar rehta hai
na jaane kiska isay intezaar rehta hai

Wo duur ho ke bhi rehta hai saat-saat meray
meray khayal ke rath par sawar rehta hai

Kaha tha ishq na karna kisi se dil mairay
junoo mein khud pay kaha ikhteyaar rehta hai

Udaasi jeel sii ankhon say jab tapakti hai
kinaray aab kohi sogwar rehta hai


Ye dil darakta hai bas teri chaap ke sadqay
mareez-e-shab ko tera intezaar rehta hai

Kabhi to khul kay baras ja meri zameenon pay
ke dasht-e-hijr mein haar suu ghubaar rehta hai

Tu mujh Ebad ko izn-e-beyaan ataa kar day
Ke baat karnay ko dil beqaraar rehta hai


Kaisa hai woh


Khirrkiyan kis tarha ki hain, aur dar kaisa hai wo
Sochta hun jis mein wo rehta hai, ghar kaisa hai wo

Kaisi wo aab_o_hawa hai jis mein wo leta hai saans
Aata jata hai wo jis per, rah_guzer kaisa hai wo

Kaun see rangat k hain us k zameen_o_aasman
Chaon hai jis ki yahan tak, shajar kaisa hai wo

Main to us k ek ek lamhay ka rakhta hun shumaar
Aur meray haal_e_dil say kaisa bekhabar hai wo

Us ka hona he bohat hai, wo kahin hai to sahe
Kaya sarokaar us say hai mujh ko, kaisa hai wo…. .


Intizar


unka waada hai ke wo laut aayenge
isi ummeed par ham jeeye jayenge

1 comment:

  1. Visit This Poetry Website
    http://famousurdupoetry.blogspot.com

    ReplyDelete