humain koi Gham nahin tha Gham-e-ashiqi se pehle
na thii dushmanii kisii se terii dostii se pehle
na thii dushmanii kisii se terii dostii se pehle
hai ye merii badnaseebii teraa kyaa qasoor iss mein
tere Gham ne maar Daalaa mujhe zindagii se pehle
tere Gham ne maar Daalaa mujhe zindagii se pehle
meraa pyaar jal rahaa hai aye chaand aaj chhup jaa
kabhii pyaar thaa hamein bhii terii chaandni se pehle
main kabhii na muskuraataa jo mujhe ye ilam hotaa
ke hazaaron Gham milenge mujhe ik Khushii se pehle
ke hazaaron Gham milenge mujhe ik Khushii se pehle
ye ajeeb imtehaan hai ke tumhii ko bhoolnaa hai
mile kab they iss tarah ham tumhein bedilii se pehle
mile kab they iss tarah ham tumhein bedilii se pehle
No comments:
Post a Comment